ELM-E-GHAIB
Aye Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} log apse Qayamat ke bare me sawal kaete hain ke iske aane ka waqt kaun sa hai? Kah dijiye: iska Elm to mere Rab hi ke pass hai wahi isse iske waqt par zhahir karega, Wo Aasman aur Zameen me bhari hadsah hogi- wo Qayamat tumhare pass achanak hi aayegi, wo log apse sawal karte hain Jaise aap iske waqt se Bakhubi waqif hain, Kah dijiye iska Elm to sirf Allah ke pass hai lekin aksar log nahi jante.
( *Surah-Al-Aaraaf, Aayat-no: 187 * )
Tasrih:- Allah ne apne Rasool{sall’Allaahu alaihi wa’sallam} ko hukum diya ke jab aap se Qayamat ke bare me pucha jaye to aap iska Elm ko Allah-Taala ki taraf lauta de kyon ke wahi isse iske waqt par zahir kar dega aur wahi pure taur se iske waqt ko janta he or iske siwa koi bi isse nhi janta yani iska yaqini Elm na kisi Farishta ko hai na kisi Nabi ko, Allah ke siwa iska Elm kisi ke pass nahi, wahi isko apne waqt par zahir farmaye ga. Iski puri tafseer le liye dekhe
( Tafsir-ibn-Kathir,Al-Aaraf, Aayat-no,187 )
No comments:
Post a Comment