Jumma Mubarak kehna kaisa hai

-->> Daleel :;--Allah ta’ala ne Mubarakbaad dene ke tareeqe bataaye hain. Hamen waisa hi karna chahiye…Jaise Eidain Ki mUbarakbaad ke liye dua sikhaayi “Taqabballahi Wa minna Wa minkum” (AL-MUGHNEE 2/259)

Lekin Jumah Ke liye Aisa kuch ni faramaya lihaza ye bidat hai..Jumah Mubarak bolna Nabi se ya sahaba se sabit nahi hy kisi hadees me bhi nahi hy... Nabi(S.A.W) ne Deen kaha tak sikhaye waha tak hum sikna hy nabi se agay nahi badna hy....Quran,Surah Furqan (ayat no 27) me Allah swt kahte hai “Aur us din zalim shaksh apne hath chaba chaba kar kahega ke haye kash ke maine Rasul (saw) ki raah ikhteyar ki hoti”...

--->>Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nai hai to wo mardud(Rejected) hai.
{Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.}

-->>Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. {SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).}

Jumma Mubarak kehna ALLAH ke Rasul s.a.w. se sabit nai hai aur jo kehte hai ...wo sahih hadith se sabit karke batayen………Upar Quran aur ahadith ki roshni se ye pata chala ke apni taraf se koi kam karne me koi fayeda nahi hai aur jo aisa krta h wo qayamat k din ruswa hoga ke jo ALLAH ke Rasul saw hame bata k nai gaye humne wo kam kyun kiya.

--->>Jazakum Allahu khairan...

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete