"ALLAH KE RASOOL (SAW) SO RAHE THE KI HZ ZIBRIEL (AS) TASHREEF LE AAYE, AAP KO KAABA KE HATEEM KE PAAS LE GAYE, AAP KA DIL NIKAAL KAR USE IMAAN SE BHAR KAR WAPAS RAKH DIYA, AAP BURRAQ PAR SAWAAR HUE, BAITUL MUQADDAS TASHREEF LE GAYE, WAHAN AAP KO SHARAAB AUR DHOODH KA BARTAN PESH KIYA GAYA TO AAPNE DHOODH KA BARTAN KUBOOL FARMAYA TO HZ JIBREIL (AS) NE KAHI KI AAP KI UMMAT FITRAT PAR QAYAM HAI, BAITUL MUQADDAS ME AAP NE AMBIYAY KIRAAM (AS) KI IMAMAT KARTE HUE DO RAKAT NAMAZ ADA FARMAYI, PHIR AAP AASMAN ME TASREEF LE GAYE, PAHLE AASMAN ME ADAM(AS) SE MULAKAT HUI, DUSRE AASMAN ME YAHYA(AS) AUR ISA (AS) SE, TEESRE AASMAN ME YOUSUF (AS), CHAUTHE AASMAAN ME IDREES(AS) SE, PAANCHVE ME HAROON(AS), CHHATE ME MUSA(AS) SE, AUR SAATVE ME IBRAHEEM(AS) SE.
PHIR SIDARTUL-MUNTAHA TASHREEF LE GAYE AUR USKE BAAD BAITUL MAMOOR TASHRIF LE GAYE, PHIR AAP PAR 50 WAQT KI NAMAAZ FARZ KI GAYI JO AAKHIR ME 5 WAQT TAK MAHDUD KAR DI GAYI"
(BUKHARI,MUSLIM)
"MERAJ KE SAFAR ME AAPNE JANNAT AUR JAHANNUM KO DEKHA, JANNAT ME 4 NAHREN DEKHI, DO JAHRI AUR DO BATNI, JAHANNUM KE DAROGAH KO BHI DEKHA, AAP NE UN LOGON KO BHI DEKHA JO YATEEMON KA MAAL ZULMAN KHA JAATE HAIN, UNKE HONTH(LIPS) OONT(CAMEL) KE HONTH KI TARAH THEY AUR WO APNE MUH ME PATTHAR KE TUKDE JAISE ANGARE THOOS RAHE THEY AUR DUSRI JAANIB UNKE PAKHANE KE RASTE SE NIKAL RAHE THEY,
AAP NE SOOD KHORON KO BHI DEKHA UNKE PET ITNE BADE THEY KI WE APNI JAGAH SE IDHAR UDHAR NAHI HO SAKTE THEY AUR JAB AAL-E-FIRAUN AAG PAR PESH KARNE KE LIYE LE JAAYE JAATE TO INKE PAAS SE GUZARTE WAQT INHE RAUNDTE HUE JAATE THEY,
AAPNE ZINA(RAPIST) KAARON KO BHI DEKHA,UNKE SAAMNE TAAZA AUR FARBA GHOST(MEAT) THA AUR USI KE PAHLU BA PAHLU SADA HUWA CHICHDA BHI THA, YE LOG TAAZA AUR ACCHA GHOST CHHOD KAR SADHA HUWA GHOST KHA RAHE THEY,
AAP NE UN AURTON KO DEKHA JO APNE SHAUHAR PAR DUSRON KI AULAAD DAAKHIL KART HAI (YANI SHAUHAR KE RAHTE DUSRON SE ZINA KARTI HAIN AUR ZINA SE AULAAD ZANTI HAIN ) UNKE SEENO ME BADE BADE TEDHE KAANTE CHUBHA KAR UNHE AASMAAN AUR ZAMEEN KE BEECH LATKA DIYA HAI, "
(KHULASA AZ-KUTUB-E-TAREEKH WA HADITH)
No comments:
Post a Comment