MASLA KHALF UL IMAM AUR BAAZ ULEMA E AHNAAF KA QAUL

Bismillahirrahmanirraheem

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

Hz anas (ra)farmate hain ki" rasoollah ne apne sahaba ko namaaz padhai, namaaz padha kar unki taraf ghoom kar pauccha, kya tum apni namaaz me imam ki qir'at ke saath padhte ho...sab khamosh rahe. Teen baar aapne puccha. Phir jawab diya. Haan huzoor hum aisa karte hain aur farmaya, na kare ! Tum me se har ek ko chahiye ki sirf surah fatiha dheere se padh liya kare, yaani surah fatiha zaroor padh liya karo aur phir khamoshi se qir'at suna karo...

(bukhari)

SHAH WALIULLAH DEHLWI KA FATAWA

" agar imam unchi aawaz se qir'at padhta hai . To muktadi imam ke saktah ke waqt peeche-peeche alhamdu sharif padhta jaaye. Aur agar khmoshi se padhta hai to muktadi ko choot hai(jis tarah padhe)

saktah= surah padhte waqt imam jahan thaharta hai

HIDAYAH KA FATAWA

hidayah hanafi maslak ki bahut maqbool aur unche darje ki kitaab hai. Iski pahli jild fasl-fil-qir'at me fatiha khalf ul imam ke baare me ye fatawa hai.

Wa-yustahsun ala sabilil ihtiyati

ahtiyaat ke liye surah fatiha ka imam ke peeche padh lena hi behtar hai

(hidayah)

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA AUR BAAZ AIMMA E AHNAF KE AQWAAL:

1- Allama aini hanafi sharah bukhari me likhte hain

" baaz fuqaha e hanfiya har namaz me chaahe wah sirri ho ya jahri imam ke peeche alhamdu (surah fatiha) padhne ko ehtiyaatan mustahab(bahtar) bataate hain, baaz fuqaha sirf sirri namaz me, aur makka aur madina aur mulk e shaam ke fuqaha ka isi par amal hai"

(gausul gamaam)

2- allama abdul haiy lakhnawi rh likhte hain

" imam muhammad rh (imam abu hanifa ke shargird) se marwi hai ki unhone imam ke peeche surah fatiha padhne ko sirri namaz me mustahab(behtar) bataya hai, aur isi tarah imam abu hanifa rh se riwayat kiya gaya hai aur isi to hamare bahut se masaikh ne akhtiyaar kiya hai"

(umdatul qari)

3- imam shorani rh farmate hain

" imam abu hanifa rh aur imam muhammad rh ka aakhiri qaul yahi hai ki imam ke peeche surah fatiha padhi jaaye, na padhne ka Qaul pahle ka hai, jisse unhone ahtiyaatan ruju kar liya hai"

(gausul gamaam)

4- khwaja nizamuddeen awliya rh imam ke peeche surah fatiha padhte they aur farmate they

" nabi(sws) se sahih sanad se saabit ho chuka hai ki jisne surah fatiha na padhi uski namaz nahi hoti, ek baar jab aapne ye hadith pesh ki to wahan qaazi ruknuddeen bhi maujood they wah kahne lage tujhko hadith se kya kaam abu hanifa ka koi qaul pesh kar

hz nizamuddeen rh ne farmaya:-" subhaanallah! Main nabi ki hadith pesh karta hun aur tum mujhse abu hanifa ki riwayat talab karte ho, phir aapne farmaya:- fuqaha ki is bahaduri par tajjub hai ki hadith ka kaise inkaar karte hain aur kahte hain ki fiqhi riwaayat rasool(sws) ki hadith par muqaddam hain"

(nuzhatul khwatir)

5- maulana rasheed ahmad gangohi rh likhte hain

" jab aap(sws) ko qirat me munaz'at aur siql huwa aur logon ka padhna malum huwa to aap(sws) ne huqm farmaya, Agarche tum jaldi jaldi saktaat e imam me hi padhte ho taa ham padha kare siwaaye fatiha ke kyonki surah fatiha ke begair namaz nahi hoti"

(sabeelur rasheed)

6- sheikh abdul qadir jilani rh likhte hain

" surah fatiha ka padhna farz aur namaz ka ruqn hai, surah fatiha ke na padhne se namaz baatil ho jaati hai"

(gunyatuttaleebeen)

6- mulla jeevan ne tafseer e ahmadi me likha hai

" agar jamaat e soofiya aur mashaikheen e hanafiya ko dekhoge to tumhe malum hoga ki ye log imam ke peeche alhamdu(surah fatiha) padhne ko mustahab bataate they jaisa ke imam muhammad rh ehtiyaatan mustahab bataate they"

(tafseer e ahmadi)

ALLAH TAALA HAMEN TAUFEEQ DE KI HAM KOI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI KASAUTI PAR PARAKH LEN.......AMEEN

No comments:

Post a Comment