Bismillahirrahmanirrahim
Al Quran : Allah usey aise rizq ata farmata hai jahan se usey gumaan bhi na ho.
.
Al Quran : Jo ALLAH se darta hai , ALLAH uske liye (pareshaniyon se) nijaat ka rasta nikal deta hai, aur aise rizq ata farmata hai jahan se usey gumaan bhi na ho aur
jo ALLAH par bharosa karta hai tuo wo usko kaafi hai, beshak ALLAH apna hukm pura karne wala hai,
ALLAH ne har cheez ke liye ek andaza muqarrar kar rakha hai.
.
Al Quran , Surah At-Talaq (65) , Verse 2-3
.
.
Hadith: Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
agar tum Allah par is tarah bharosa karo jis tarah bharosa karne ka haq hai tuo wo tumhe is tarah rizq dega jis tarah parindo ko rizq deta hai , subah ko wo bhukhe nikalte hain aur shaam ko wo pet bhar kar wapas aate hain.
.
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 225-Hasan
Rizk
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment