Kya ahle hadees koi naya firqa hai

INDEX 1. KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI? 2. AHLE HADEES KA MANA (MEANING) 3. AHLE SUN NAT NAAM Kl ZARURAT 4. IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB 5. IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB 6. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB 7. IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB 8. IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN 9. BADE PEER SAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA FARMAAN 10. EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB 2 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Bismillahirrahmanirraheem Shuru Allah ka Naam le kar jo bada Meharbaan Aur Nihayat Raham Wala Hai. KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI? Ahle Hadees murawwajah mazhabo ki tarha koi mazhab nahi, na mukhtalif firqo ki tarha koi firqa hai balke Ahle Hadees ek jamaat aur tehreer ka naam hai aur wo tehreer hai zindagi k har shobey mein Quran wa Hadees k mutabik amal karna aur dusro ko un dono par amal karne ki targeeb dilana ya yuh keh dijiye k Ahle Hadees ka nisb wa ayen Kitab o Sunnat ki dawat aur Ahle Hadees ka manshoor Quran o Hadees hai. "DASTOOR E AHLE HADEES K 2 USOOL" "ATI ULLAHA WA ATIUR RASOOL" Kyunki Allah ne apne Nabi ko huqm diya: "IT'TABI O MA OUHIYA I LAI K A MIR RABBIKA" - yani ae Nabi tumhare paas jo wahi ki gayi hai uski itteba karo aur Nabi k sath sath Allah ne Nabi k pairokaro ko bhi huqm farmaya: "IT'TABI O MA UNZILA ILAIKUM MIR RABBIKUM WALA TAT'TABI O MIN DOONIHI AU'LIYA" - yani ae ummat e Muhammadiya turn sirf us ki itteba karo jo tumhare paas tumhare perokaro ki taraf se nazil kiya gaya hai aur uske alawa degar waliyo ki pervi mat karo. Mazkura bala dono ayato se wazey hota hai k har musalman ko Allah ki taraf se nazil shuda ahkaam ki pervi karna chahiye aur gair Allah ki baato par dhayan na dena chahiye. yaha ek sawal paida ho sakta hai k Allah ki taraf se nazil shuda cheez kya hai? 3 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) iske jawab mein khud Allah ta'ala ne farmaya: "WA ANZALALLAHU ALAIKAL KITAABA WAL HIKMAH" - yaani Allah ne turn par kitab aur hikmat utari hai. yaha ye bhi sawal paida ho sakta hai k kitab se muraad kya hai?, iski tafseer tabayi k sardaar Hasan Basri Rahimahullah aur Katadah Rahimahullah ne farmaya k kitab se muraad Quran aur hikmat se muraad Sunnat hai. (Tafseer ibne kaseer jild 1 safa no. 185) Is k alawa ek mash'hoor tabayi Hazrat Hassan bin Ateeya Rahimahullah se marvi hai k Jibraeel Alahis Salaam jis tarah Quran le kar naazil hue they isi tarah Sunnat le kar bhi utrey they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hadees ki taleem is tarah dete they jis tarah Quran ki taleem dete they. (Al Kifayah fi ilmur riwayah safa no. 14) Khud Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "ALA INNI OOTEETUL QUR'AANA WA MISLAHU MA'A'HU", yaani turn loog jaan lo k mujhe Quran aur isi k saath isi k manind ek cheez di gayi hai. (Abu Dawood wa Ibne Maja) Mazkoora baala Hadees e paak aur Tabaeen E Azaam ki tasrihaat se ye baat wazey ho gayi k Quran wa hadees dono nazil shuda hai AHLE HADEES KA MANA (MEANING) Ahle Hadees do lafzo se mil kar bana hai ek hai Ahle dosra hai Hadees, Ahle ka maana hai "wala" aur Hadees a mana "Quran o Hadees" isliye Ahle Hadees ka mana hua "Quran o Hadees wala" 4 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Lafz Hadees ka mana Quran bhi hai aur Hadees bhi, Hadees ka lafz dono ko shamil hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Quran ko Hadees kaha hai jese har khutbe mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate they: "FA INNA KHAIRAL HADEESI KITABULLAH", k sab se behtar Hadees Allah ki kitaab hai Allah k kalaam k alawa Nabi k qaul wa kalaam ko bhi Hadees kaha gaya hai, jese Quran mein hai: "WA IZ ASARRAN NABIYU I LA BAAZI AZWAJIHI HADEESA", k jab Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni baaz beewiyo se ek baat poshidah rakkhi yaha is ayat mein Hadees se muraad Rasool ki baat hai. AHLE SUNNAT NAAM KI ZARURAT Nabi paak ki rahmat k chabbees (26) saal k baad 37 hijri mein Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu aur Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu mein bamuqaam Siffeen badi zabardast jang hui is jang mein jab Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu ki fouj haarne lagi to unhone Quran ko neezo par utha liya, aur Qur'aani faislo k mutabiq jang bandi ki tajweez paish ki is tajweez ko Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne qubool farma liya aur sulah k zariye ladayi khatam ho gayi, is jang se bezaar ho kar hamiyaan e Ali Razi Allahu Anhu k 1200 ifraad Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki jamaat tark karke jamaat se nikal gaye ye loog khaarji kehlaye, in loogo ne Quran ko maan'ne k saath saath Hadeese ghadna shuru kar diya is liye in loogo ko musalmaan naam k saath saath Ahle Bida'at ka laqab de diya gaya, aur jo loog Quran maan'ne k saath saath Sunnat ko maante rahe unka laqab Ahle Sunnat pad gaya jesa k mash'hoor tabayi Muhammad bin Seereen Rahimahullah farmaate hai: "FA YUNZARU I LA AHLIS SUNNATI FAYU KHAZU HADEESUHUM WA YUNZARU I LA AHLIL BID'ATI FALA YOKHAZU HADEESUHUM", yaani Ahle Sunnat ko dekh kar unki Hadeese qubool ki jaati thi aur Ahle Bida'at ko dekh kar unki Hadeese qubool nhi ki jaati thi. (Muqadma Muslim) 5 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Hazrat Peerane Peer Abdul Qadir Jeelaani Rahimahullah farmaate hai: "AHLUS SUNNATI LA ISLA LAHUM ILLA ISMUN WAAHIDUN WA HUA ASHAABUL HADEES", yaani Ahle Sunnat ka ek hi naam hai aur wo hai Ahle Hadees. (Gunyatut Talibeen Matbua E Karachi Safa no. 710) Bade peer sahab ki is tashreeh se pata chala k Ahle Sunnat ka doosra naam sirf aur sirf Ahle Hadees hai aur doosra koi naam nahi Hazrat Umar Razi Allahu Anhu farmaate hai k tumhare paas shareer qaum ayegi, shubhaat e Quraan ko paish kar k jhagdegi turn unse Sunnat E Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath mubahasa karo, kyunki Ahle Hadees kitab Allah aur Sunnat E Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada aagah hai. Imam Khataabi Rahimahullah farmaate hai k Ashaab E Sunan Ahle Hadees hai. (Sheraani Meezan ul Kubra jild 1 safa no. 46) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate hai jab shaami loog fasaad karenge us waqttum mein kuch bhi bhalayi nahi rahegi, meri ummatse ekjamaat hamesha haq par rahegi kisi ki mukhalifat usko nuksaan nahi pahuncha sakegi. imam Ali bin Madeeni Rahimahullah (Imam Bukhari Rahimahullah K ustaad) farmaate hai k wo jamaat Ahle Hadees hai. (Tirmizi Baabul Fitan) 6 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB Kisi ne Sufyaan bin Uyeyna Rahimahullah se pucha k turn Ahle Hadees kese hue to unhone jawab diya k mujhe Imam Abu Hanifa Rahimahullah ne Ahle Hadees banaya. (Hada'iqul hanafiah) mazkoora bala waqiya se ye maloom hua k jis raah par Hazoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum chalte they Imam Sahab bhi usi raaste par gaamzan they aur doosro ko bhi usi raaste par chalne ki talqeen karte they. IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB Imam Shafa'i Rahimahullah farmaate hai k Ahle Hadees har zamaney mein mojood rahenge maanind sahaba Razi Allahu Anhum k, aur farmaate they k jab mein Ahle Hadees ko dekhta hu to gooya Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekhta hu. (Meezaanul Kubra Sheraani) IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "LA TAZAALU TAA IFATUM MIN U MM ATI MANSOOREENA LA YAZURRUHUM MANA KHAZA LAHUM HATTA TAQOOMAS SAA'AH" yani meri ummat mein se ek garoh hamesha gaalib rahega jo loog unko ruswa karna chahenge unko nuksaan nahi pahuncha sakenge. (Tirmizi Jild 2 Safa no. 42) 7 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Is Hadees se maloom hua k Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam k daur e mubarak se qayamat tak ek jama'at haqq par qayam rahegi. Ab sawaal paida hota hai k wo konsi jama'at hai?, Imam Hakim Rahimahullah ne Uloom E Hadees mein Sahih Sanad se Imam Ahamad bin Hambal Rahimahullah se naqal kiya hai k Imam mosoof Rahimahullah farmaate hai k agar us Hadees (FALA YAZAALU TAA IFATUN) se muraad Ahle Hadees nahi hai to mein nahi jaanta k wo kaun hai? IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB Imam Ku-bani Rahimahullah kehte hai k Imam Malik Rahimahullah maut k waqt roone lage mene pucha k aap kyu roote hai kaha kyu na roouo mene bahut se fatwe apni raaye se de diye kaash mein aesa na karta aaj mujhe uska ranj hai mein pasand karta hu k har fatwe k badle jo mene apni raaye se diye ek ek maar kha kar choot jao. (Ibne Khalkaan jild 2 safa no. 11) Hazrat Imam Malik Rahimahullah ye batana chahte they k raaye wa qayaas koi achhi cheez nahi, asal cheez Quran o Hadees hai isi par loogo ka amal hona chahiye aur un dono par amal karne wale Ahle Hadees na kahe jaye to aur kya kahe jaye? 8 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN "WA KANA ABU BAKRIBNI AYAASHIN YAQOOLU AHLUL HADEESI Fl KULLI ZAMAAB" k Abu Bakr bin Ayaash kehte hai k Ahle Hadees har zamaane mein mojood rahenge. (Meezaan Sheranai jild 1 safa no. 48) BADE PEERSAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA FARMAAN Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jeelani Rahimahullah farmate hai k bida'atiyo ki nishaani ye hai k wo Ahle Hadees ki bad gumaani karte hai. (Gunyatut Talibeen) Sun liya aapne shah jeelani Rahimahullah ki zubaani se k bida'ati loog Ahle Hadees k liye burey burey alqaab ghadhte hai, azrah bugz wa hasad kabhi unko wahabi, Najdi kaha jata hai kabhi la-mazhab aur Gair Muqallid kaha jata hai kabhi 24 number k laqab se pukara jata hai. "TABSIRA JAB KISI PAR KIYA KIJIYE AYEENA SAAMNE RAKH LIYA KIJIYE" 9 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB Bida'ati hazraat kehte hai k Ahle Hadees to kal paida hue hai, uske jawab mein kaha ja sakta hai k Aalam e islaam ka ek mash'hoor mu'arrikh Allama Ahmad bin Bashaar Maqdasi ne 1375 hijri mein Hindustaan k Sindh ka safar kiya tha, Sindh k mashoor muqaam mansoora k mutalliq wo kehta hai, "KANA AKSARUHUM AHLUL HADEES" yaani mansoora sindh k aksar musalman baashindey Ahle Hadees they. (Tareekh E Sindh Safa no. 375) th Allama Maqdasi k mazkoora bayan se saaf zaahir hota hai k chooti (4 ) sadi hijri mein mansoora k aksar musalman Tahreek Ahle Hadees k alambardaar they aur Quran o Hadees par barahe raast amal karne waale Ahle Hadees they. Mash'hoor Mua'rrikh Allama Abu Mansoor Abdul Qaadir Bagdaadi kehta hai: Rome, Aljeria, aazerbaijan baabul abwaab wagairah k tamaam musalman Ahle Hadees maslak par they aesa hi Africa, Spain aur bahar magrib k sarhadi musalman baashindey sab k sab Ahle Hadees they aur aesa hi habsha k sarhadi ilaaqey yaman k tamaam musalmaan Ahle Hadees they. Allama Bagdaadi ka ye wazey aur waashgaaf bayan babanag dehal kehlaata hai k Ahle Hadees jis tarah muhadiseen k khaas garooh ko kehte hai isi tarah Ahle Hadees se muraad wo aam loog bhi hai jo barahe raast Quran o Hadees ko maante hai aur tahreek E Ahle Hadees ka jhanda lehraate hai jis Mua'rrikh ka ye bayan hai uski wafaat 460 hijri mein hui ab khuda ka khauf kar k aur tassub chood kar ye bataye k wo tamaam Sahaba E Kiraam Razi Allahu 10 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Anhum wa A'imma E Kiraam wa Tabaeen E Azaam wa Mua'rrakheen jinke bayanaat is kitab mein abhi guzarey kya wo kal k hai? Muqadma bin Khaaldoon "FAZLUN Fl ILMIL FIQHA" mein Allama Ibne Khaaldoon Rahimahullah Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k baad k zamaane k baare mein likhte hai k unme fiqah 2 tareeqo mein taqseem ho gayi Ahle Raaye wa Qayaas ka tareeq aur wo Ahle Iraaq hai Aur Ahle Hadees ka tareeq aur wo Ahle Hijaaz hai Insaaf se bataiye k Allama Ibne Khaldoon Rahimahullah jo Ahle Hijaaz ko Ahle Hadees keh rahe hai kya ye bhi kal ki baat hai? Shaami Sharah Durre Mukhtaar mein hai k Qaazi Abu Bakr jo zajaani k ahad mein ek hanfi ne ek Ahle Hadees se uski ladki ka rishta maanga alfaaz ye hai: "INNA RAJULAN MIN ASHAABI ABI HANEEFATA KHATABA I LA RAJULIN MIN ASHAABIL HADEES" tu us Ahle Hadees ne inkaar kar diya magar is soorat mein k hanfi apna mazhab taqleed chood de, is hanfi ne wo baat manzoor karli to Ahle Hadees ne apni ladki us se biyah di. Gaur fameinye yaha to teesri (3rd) sadi mein Ahle Hadees ka zikr mojood hai phir wo loog kitne mutassub aur kis qadar galti par hai jo kehte hai k Ahle Hadees to Naya Firqa hai abhi kal paida hua hai. 11 Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?) Sach farmaya imam Tahavi Hanfi Rahimahullah ne k "LA YUQALLIDU ILLA ASBIYUN AAU GABIYUN" k taqleed wahi karega jo tassub parast aur ahmaq ho. (Rasmul Mufti li ibne Aabideen Safa no. 32) Hazrat Imam Tahavi Rahimahullah ne saaf faramaya k muqallid bada tassub parast aur bewakoof hota hai, ab aesa aadmi jitna awwal fa'al bakey kam hai. Allah ta'ala musalmaano ko fiqr e mustaqeem ata farmaaye. Allah ta'ala Sheikh ki hifazat farmaye aur unke ilm mein izafa ata farmaye, aur Allah ta'ala mere ilm mai bhi izafa ata farmaye aur hamari har tarah se hifazat farmaye aur hamare jin bhaiyo ne is kitab ko likhne mein hamari madad ki hai Allah unki jayez haajato ko qubool farmaye aur unki tamaam pareshaniyo ko door farmaye, aur Allah ta'ala is kitab ko hamare liye sadqa e jaariya banaye. (Aameen Ya Rabbal Aalameen) Aapka Deeni Bhai Muhammad Faisal Khan faisalkhan9780@Rmail.com Plz Visit Our Sites: www.lslamiclectures.wapka.me www.MuhammadibloR.bloRspot.in Specially Visit for Sh ——by @UC Browser

No comments:

Post a Comment