Bismillahirrahmanirraheem
JALSA E ISTEHARAT ME BAITHNE KI KAIFIYAT:
imam Abu Qilaba (Rh) Farmate Hai Ke
Hamare Paas Sayyedena Malik Bin Huwairish (Ra) Tashreef Laaye Aur Hamari Masjid Me Hamen Namaz Padhaayi, Kahne LAGE ke
" Main Aapko Namaz Padhaata Hoon Meri Niyat (Mahaz) Namaz Padhne Ki Nahin Hai, Balke Main Aapko Ye Batlaana Chaahta Hoon Ke Rasoollullah (Sws) Ko Maine Kaise Namaz Padhte Dekha,
Imam Abu Ayyob Sakhtiyani Kahte Hain Ke
Maine Imam Abu Qilaba Se Poocha Sayyedena Mailk Bin Huwairish (Ra) Ne Kis Tareeqe Se Namaz Padhaayi ??
Unhone Kaha Ke
Hamare Sheikh Sayyedena Hz Umar Bin Salma (Ra) Ki Tarah,
Imam Ayyub Farmate Hain Ke
Sayyedena Hz Umar Bin Salma (Ra) Poori (22) Taqbeerien Kahte Aur Jab Dusra Sazdah Karke Sar Uthaate Toh Baith Jaate Fir Zameen Par (Haathon Ki) Tek Lagaate Phir Uthte They"
(Bukhari Kitabul Azaan Hadith No. 824)
Sayyedena Hz Malik Bin Huwairis (Ra) Raawi Hain Ke Unhone Nabi E Akram (Sws) Ko Namaz Padhte Hue Dekha, Aap (Sws) Jab Taaq Rakat Padh Lete Toh (Seedhe) Khade Na Hote, Jab Tak Theek Tarah Baith Na Jaate They
( Bukhari KitabuL Azaan Hadith 823)
3- Imam Abu Qilaaba Farmate Hain Ke
Sayyedena Hz Malik Bin Huwairis (Ra) Hamare Paas Tashreef Laya Karte They Aur Kaha Karte They
"Main Aapko Rasoollullah (Sws) Ki Namaz Na Batlaaun ??"
Fir Wah Be'waqt Namaz (Nawafil) Padhte They Aur Jab Pahli Rakat Ka Dusra Sajda Karke Sar Uthaate Toh Pahle Seedhe Baith Jaate ; Fir Zameen Par (Haathon Se Tek) Lagakar Khade Hote They "
(Sunan Bayheqi Kitabul Tatleeq Hadith No. 1102)
4- Sayyedena Abu Hurairah (Ra) Raawi Hain Ke
ek Shakhs Masjid Me Aaya Aur Rasoollullah (Sws) Masjid Ke Kone Me Baithe Hue They, (Aane Waale) Is Shakhs Ne Namaz Padhi, Fir Aakar Nabi E Akram (Sws) Ko Salaam Kaha,
Aap (Sws) Ne Kaha Walaikum As salam, Farmaya
"Jaakar Namaz Padh Tune Namaz Nahin Padhi"
Wah Fir Gaya Dobara Namaz Ada Ki Aur Aakar Salaam Kaha , Aapne Walaikum As salam Kaha,
Aur Farmaya :-" Jaakar Namaz Padh Tune Namaz Nahin Padhi"
Wah Gaya Aur Teesri Martaba Usne Namaz Padhi, Phir Aakar Aapko Salaam Kaha, Aapne Farmaya
"Walaikum As salam, Namaz Padh Tune Namaz Nahin Padhi,"
Aakhir Dusri Ya Teesri Martaba Usne Arz Kiya
"Ya Rasoollullah Mujhe Namaz Padhna Sikhlaayen"
Aap (Sws) Ne Irshaad Farmaya Ke
" Jab Tu Namaz Ke Liye Khada Ho, Toh Pahle Accha Wuzu Kar, Fir Qibla Rukh Hokar Allahu Akbar Kah , Fir Jo Quraan Aasaani Se Padh Sake Wah Padh, Fir Itminaan Ke Saath Ruku Kar, Fir Sar Uthaakar Seedha Khada Ho Ja, Fir Itminaan Se Sajda Kar, Fir Sajde Se Sar Uthaakar Itminaan Se Baith Ja, Fir Dusra Sajda Itminaan Se Kar , Fir Sar Uthaakar Itminaan Se Baith Ja, Isi Tarah Poori Namaz Ada Kar"
(Bukhari Hadith 6201)
No comments:
Post a Comment