BIDAAT KYA HAI??

вιѕмιʟʟαнιʀ-ʀαнмαηιʀ-ʀαнєєм.
Aѕѕåℓåм Aℓукυм ωå Råħмåтυℓℓåħι ωå Båɾкåтåħυ
    BIDAAT KYA HY 〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Bidaat ke mutalliq Quraani Dalael ke bad ayye ab dekhen ke Ahadees kya kahte hyn
Part :  2⃣
HADITH
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad Sallallahu Alyhi wa Sallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka tareeqa hai sabse bad tareen kaam Deen mein nai nai baton ka paida karna hai …”
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ki ijaad karte hai to usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
Al-Tirmidhi, (Hadith 65).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nai nai baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai…”
Sunan Ibn Majah, Vol 1-45 (Sahih)

No comments:

Post a Comment