FAZAEEL E AAMAL D BOOK OF SHIRK N BIDDAH

FAZAEEL E AAMAL D BOOK OF SHIRK N BIDDAH

Zaroor Padiye Aur Dusro Ko Bataiye

Jamaat se ek namaaz ka.sawab 3 caror 35 lakh 54 hazaar 400 sau 35 (jhut ki inteha)
Fazaile namaaz safa no : 42

Ek buzrug ki biwi roti rahi aur woh lambi lambi namaazo me mashgul rahe
Fazaile namaaz safa no :  66

Ek wazoo se 12 tak sari namaaze
15 baras musalsal nhi soye (world record)
Fazaile namaaz safa no : 64

Allah taala ne malikul maut ko bhejne ke baad wapas bula liya ek mahina baki tha (naoozubillaha nizaam ilahi me gad bad ki tohmat)
Fazile namaaz safa no : 10

Haseen khubsurat ladki ke liye 40 baras tak subha ki namaaz eesha ke wazu se padhi (shaikh abdul wahi sufi ka haseen ladki hasil karne ka tarika)
Fazaile namaaz safa no : 60

Girte paani se jhadte gunha imaam abu hanifa (r.h) dekh lete the (fazaile amaal ka.dawa)
Fzaile amaal safa no : 13

Jo shaks namaaz ko kaza karde baad me padh bhi le phir bhi 2 caror 28 lakh saal jehannam me jalega
Fazaile namaaz safa no : 36

Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
Fazaile namaaz safa no : 43

Shah abdul rahim raye puri ke khadim kai kai deen istanja nahi jaate the har jagah anwaar nazar aate tha ( yeh hinduo ka aqida hai)
Fazaile zikr safa no : 150

Dars quraan ki mumaniyat
Fazaile zikr safa no : 68

Sufiya ka farmula kam se kam rozana 25 hazaar baar la ilaha illallah ki miqdar
Fazaile zikr safa no.: 84

50 baras tak ek wazoo se eesha aur fazr ki namaaz
(Imaam abu hanifa (r.h) ka tarika
Fazaile namaaz safa no : 66

Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
Fazaile namaaz safa no : 63 

Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
Fazaile namaaz safa no : 43

Namaaz me.12 hazaar cheeze
(Maulana zakariya ki khoj)
Fazaile namaaz safa no : 78

30 baras se jannat saamne arahi thi ise thukraya
Fazaile zikr safa no : 162

Hazrat janeed ne shetan ko nanga dekha
Fazaile zikr safa no : 43

Marne ka naya andaaz cheekh maari aur mar gai
Fazaile zikr safa no : 78

Maulana khalil ahmad ke aane se saara haram anwaar se bhar gaya (aur maulana se.pehle???)
Fazaile zikr safa no 30

Machli laane wale mazdur ke wasile se dua ki padosi ki aphaeej chalne lagi (kis kis ka wasila.loge??)
Fazaile namaaz safa no : 63

Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
Fazaile namaaz safa no : 63


Doraan namaaz jism ka hissa kata gaya pata nhi.chala (opration ka naya tarika)
Fazaile namaaz safa no : 85

Roti se ibadat me harj 40 saal se sattu faank rahe the
Fazaile zikr safa no : 24

Machli laane wale mazdur ke wasile se dua ki padosi ki aphaeej chalne lagi (kis kis ka wasila.loge??)
Fazaile namaaz safa no : 63

Khuwab me hazoor ne munh ko chuma 8 din tak munh se khushbu aati rahi
Fazaile darud safa no : 102

Nabi sallallaho alehi wasallam ki rooh aasman se utri haath me roti thi
Fazaile darud safa no : 113

Ek ladki ne kunwe ke andar thuka paani kinare tak ubal aya (agar nazar uthti tou kya hota)
Fazaile darud safa no : 89

Nabi sallallaho alehi wasallam ka saya na tha
Fazaile darud safa no : 121

Gair mehram aurat ke pait par nabi sallallaho alehi wasallam ne haath phera (astagfirullah)
Fazaile darud safa no : 109

Hazoor ne irshad farmaya jis kisi ko koi zarurat ho qabar ke paas baith kar dua kiya kare (astagfirullah)
Fazaile darud safa no : 100

Vitar ki ek rakaat me tamaam quraan majeed khatam (kya yeh mumkin hai ?)
Fazaile quraan safa no : 44

Nabi sallallaho alehi wasallam ne khuwab me lazeez zarda bheja tou haath se zaafran ki khushbu aa rahi thi (khub khao piyo)
Fazaile darud safa no : 114

Jazaakalla khair
Ek jahaaz dubne laga 300 martaba darud padha tou bach gaya (tabligiyo ki karamat)
Fazaile darud safa no : 88

(Mauzu: Tabligh Jamat ke Galat Aqaid aur Gumrahiyan)

SUFIYAT India me 2-jamaton me munqasim hai.

1.Deobandi
2.Balerwi.

Deobandi Jamat se nisf sadi pehle 1 Jamat TABLIGH ke naam se bani hai.

Is jamat ke baani (founder)
ILYAS SAHAB (Hazrat’Jee) hain.

Inki paidaish 1886,
Maut 1944 me huwi.
TABLIGH ka hukm inko khwab me mila.
(Malfuzat Ilyas, No.50)
ILYAS SAHAB ka Qabaron par Muraqaba.
“Maulvi Ilyas, Gangohi ke Qabar ke piche ek borye par bilkul khamosh dozaanu baith’te the.
Aur aap Sayyad Badayini ke Mazaar ke khareeb baith’te.”
(Maulvi Ilyas & inki Deeni Dawat, Safa.58,71)

Tabligh Jamat 1 Mashur-o-Maruf Giroh hai, jisme log
Masjid se Masjid,
Gali se Gali,
Basti se Basti,
Mulk se Mulk,
3-Din, 10-Din, 40-Din, 120-Din (4-Mahine) ya 365-Din (1-Saal) tak,
apna
Ghar, Walidain, Biwi, Bacche, Kamayi sab chodkar Deen ki Tabligh ke naam par chale jate hain.
Is Jamat me jo Deeni Taleem di jati hai wo inki Mashur kitab -
FAZAIL-E-AMAL par mabni hai.
Jo khudh padhte hain aur dusron ko bhi padhate hain.
Aam taur par Tablighi’yon ko daawa hai ke, ye SIRF logon ko FAZAIL Bayan karke Deen ke qareeb karte hain. Magar haqiqat inhi ke Ulama ke kitabon se dikhiye.

Tabligh Jamat ka mashur ulama:
1. Maulana Qasim Nanotwi (wafat.1879): Baani (Founder) ‘Darul Uloom – Deoband’.
2. Maulana Imdadullah Muhajir Makki (wafat.1899):
> Maulana Ashraf Ali Thanwi,
Maulana Qasim Nanotwi, aur
Maulana Rashid Ahmad Gangohi ke Peer.
3. Maulana Ashraf Ali Thanwi (wafat.1943):
> Bahishti Zewar ke Musannif.
4. Maulana Ilyas – Hazratjee (wafat.1944):
> Baani – Tablighi Jamat aur pehle Ameer-Saab.
5. Maulana Zakariyyah:
> Maulana Ilyas (Hazratjee) ke damad aur Fazail-E-Amal ke Musanni.

Tabligh Jamat ki Nisab – Fazail-E-Amal hai jisko Maulana Zakariyyah ne Maulana Ilyas ke ahkamat par likha.
FAZAIL-E-AMAL ke 9-Hisse aur 2-Jild hain.
1. Hikayatus Sahaba,
2. Fazail-E-Zikr,
3. Fazail-E-Namaz,
4. Fazail-E-Tabligh,
5. Fazail-E-Quran,
6. Fazail-E-Darud,
7. Fazail-E-Ramazan,
8. Fazail-E-Sadaqat aur
9. Fazail-E-Hajj.
Pehle is kitab ka naam TABLIGHI NISAAB tha aur ab FAZAIL-E-AMAL hai.
Ye mukammal kitab dunya ki taqreeban har zaban me hai SIWAYE ARABI ke.

SUFIYAT kahi firqo me taqseem ho chuki hai jinhe TARIQA kaha jata hai.
4-TARIQE mashur hain:
1. Qadriya,
2. Chishtiya,
3. Naqshbandiya,
4. Soharwardiya.
Qari Muhammad Tayyib Deobandi farmate hain:
ULAMA-E-DEOBAND ki pehchan ye hai ke wo =>
Deenan: Muslim hain,
Firqatan: Ahle Sunnat wal Jamat,
Mazhaban: Hanfi hain,
Kalaman: Matureedi & Ashari hain,
Mashraban: Sufi hain,
Sulookan: Chishti hain,
Usoolan: Qasmi hain,
Nisbatan: Deobandi hain.
Deobandi Aqeede me Muqallid hain -
Abul Hasan Ashari & Abu Mansoor Maturidi ke &
Furu me Imam Abu Hanifa ke.
(Fatawa Rahimiya, jild.1, safa.58)
SUFI
Wahdat-ul-Wajud ka Aqeedah rakhte hain.
Yani jo kuch is Dunya me hai sab Allah hi ki zaat hai & Har cheez me Allah maujud hai. (Nauzubillah)

Deobandi & Barelwi dono WAHDAT-UL-WAJUD (har cheez Allah ka wajud hai aur Har cheez me Allah hai) ke qayel hain.
DEOBANDI & BARELWIYON ka bahut bada Imam
‘MOHIYYUDDIN IBN ARABI’ (1165-1240 C.E) hai.
Jisko Mufti Lajpuri ne kaha hai ‘SHAIKH AL-AKBAR’
(Fatawa Rahimiya, jild.1, safa.4)
Ibn Arabi jo Sufiyon ka Shaikh hai iski Mashur kitab hai ‘FUSOOS AL-HIKAM’ hai jisme ye likhta hai:
> Qaum-e-Nuh ka muqtalif Khudaon ka ibadat karna sahih hai.
> Wo insan haqiqat me Arif-Billah (Allah ki marifat rakhne wala) hai jo APNE AAP KO KHUDA PAYA.
> Har Mabud me Haq maujud hai. (har banda Allah hi hai)
> Log jis mabud ko bhi pujte hain wo Allah hai, is liye ke Allah ka ghair maujud hi nahi hai.
(Fusoos al-Hikam, safa.72)

SUFI – IBN ARABI kehta hai:
Kaamil arif wo hai jo HAR CHEEZ ME KHUDA KA JALWA DEKHTA HAI.
Yehi Aqida Tabligh Jamat me:
“Maulana Shah Abdur Raheem ke ek Khuddaam me ek sahab the jo KAYI KAYI ROZ IS WAJA SE ISTINJA (TOILET) NAHI JA SAKTE THE KE HAR JAGA ANWAAR NAZAR AATE THE”
(Fazail-e-Amal, Zikr, safa.150)
Nauzubillah.
Baitul Khula me Allah ka Noor hone ka zikr, yahi Wahdat al-Wajud hai jo ‘SHIRK’ hai jisko Tabligh Jamat me masum musalmano ko sikhate hain.
Kya ye Aqida Jo,
‘BAITUL KHULA me ALLAH KA NOOR rehta hai’
Nabi, Sahaba, Tabaeen, Tabe-Tabaeen, ya Imam Abu Hanifa ka tha ? NAHI.
Malum huwa ke ye Islami Aqida nahi balke ‘SUFI – IBN ARABI’ ka Aqida hai ke har cheez me Allah maujud hai.

Ye ‘AQIDA-E-WAHDATUL-WAJUD’ hai.

No comments:

Post a Comment