. Tauheed kya hai ?
Ans : Tauheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” kahna
2. Tauheed ki ahmiyat
Tauheed wala jannat me jaega aur shirk karne wala sidha jahanum me
Abdullah-Bin-Masood{Radi-Allahu ‘anhu} se rivayat hai Rasoolallah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: jo shakhs mar(death) jaye aur Allah ke sath kisi ko Shareek karta ho to wo Jahannam me jayega, Abdullah-Bin-Masood{Radi-Allahu anhu} ne kaha main kahta hu jo Shakhs mar(death) jaye aur Allah ke sath kisi ko Shareek na karta ho wo Jannat me jayega,
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 1, Book: 2(Kitab-ul-Emaan), Hadees-no: 268 }
3.Tauheed ki 3 qisme hain
(A) Tauheed-Rububiyah
(B) Tauheed al-Ibadah
(C) Tauheed-al-Asmaa was-Sifaat
(A) Tauheed-Rububiyahka matlab hai ke is kayenaat ka Khaliq,Maalik,Razzaq aur Mudabbir sirf Allah-Taala hai.
Allah ek hi hai uske elawa koi Ibadat(puja) ke layeq nahi, sab iske Muhtaaj hain wo kisi ka Muhtaaj nahi, Na us se koi chiz nikli hai na wo kisi se nikla, Iski zaat me na iski Shifaat me aur na iski Afaal me koi iska Shareek nahi,
Aap kah dijiye ke wo Allah-Taala ek hi hai, Allah-Taala beniyaaz hai, Na us se koi paida hua na wo kisi se paida hua, Aur na koi iska hamsar hai.{ Al-Quraan, Surah-No-112, Surah-Tul-Ikhlaas }
Wahi pahle hai aur wahi Aakhir, wahi zaahir hai aur wahi poshidah aur wo har chiz ko bakhobi janne wala hai.{ Al-Quraan, Surah-No-57, Surah-Al-Hadeed, Aayat-No : 3 }
Makkah ke Mushrik bhi is Tauheed ko Mante the jaise ki Quran me ata hai
Agar Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}! inse (Mushriko) puche ke Aasmaan-wa-Zameen ka Khaliq kaun hai? to yaqinan yahi kahenge ki Allah. {Surah-Tul-Zamar, Aayat-No :38}
(B)Tauheed al-Ibadahka matlab hai ke Ibaadat ki tamaam iqsaam ka mustahaq sirf Allah-Taalahai.Jaiseki Namaz , zakat hajj sirf Allah k liye hota hai wese har ibadat sirf Allah ke liye honi chaiye. Aaj kuch log Tawaf,Mannat,Dua ye sab Allah ke alawa dusre logo ke liye karte hai jab ki Hume Allah ke alawa Ibadat kisi aur se nahi karni chaiye
Allah ne quran me farmaya
Kah dijiye ke meri Namaaz aur meri Qurbani aur meri Zindagi aur meri Maut Allah hi ke liye hai jo tamaam jahano ka palne wala hai, Jis ka koi Shareek nahi’ mujhe ussi Tauheed ka hukum farmaya gaya hai aur main sab farmabardaron me Auwal (pahla) hu,
{ Al-Quraan, Surah-No- 6, Surah-Tul-Aanaam, Aayat-No : 162,163 }
Hazrat-Annas {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ke Sahaba-Ikraam {Radi Allahu ‘Anhu} ke liye Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} se badh kar koi shakhs Mahboob nahi tha lekin iske bawajood wo log Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko dekh kar khade nahi hote the kyon ke wo jante the ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} isse pasand nahi karte,
{ Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab-ul-Aadab), Hadees-no: 654 }
* Ruku aur Sajdah Sirf Allah-Taala Hi Ke Liye makhsoos Hai
Din raat aur suraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon me se hain, Tum suraj ko Sajdah na karo na Chand ko balke Sajdah ussi Allah ke liye karo jisne in sab ko paidah kiya hai, Agar tum ussi ki Ibadat karte ho to,
{ Al-Quraan, Surah-No- 41, Surah-Ha-Meem-Sajdah, Aayat-No : 37 }
Hazrat-Qaees-bin-sayeed {Radi Allahu ‘Anhu} riwayat hai ke main Herah me aaya( Herah kufa ke qareeb ek jagha ka naam hai) to maine dekha ke yaha ke log apne sardar ko (tazeem ke taur par) Sajdah karte hain, maine apne dil me kaha ke inke muqable me to Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} is baat ke jiyada haqdar hain ke Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko (tazeem ke taur par) Sajdah kiya jaye, phir jab main Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pass aaya to maine kaha, main Herah gaya tha aur maine waha ke logon ko dekha ke wo apne sardar ko Sajdah karte hain aur Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} inke muqable me is baat ke jiyadah haqdar hain ke hum Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko Sajdah kare, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne pucha bhala kya tu jab meri Qabar par aayega to kya Sajdah karega? maine kaha “nahi” to Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: to zindagi me bhi kisi ko Sajdah na karo, Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne mazeed farmaya: agar main kisi ko sajdah karne ka hukum deta to Aurton ko hukum deta ke wo apne Shoharon (Husband) ko sajdah kare is haq ke badle me jo Allah-Taala ne mardon ke liye muqarar kiya hai,
{ Sunan-Abu-Dawood, Vol-no: 2, Book: 2(Kitab-ul-Nikah), Hadees-no: 373 }
* Tawaaf sirf Allah ke liye hona chaiye
Humne Ibrahim {Aalaih-islaam} aur Ismail {Aalaih-islaam} se wadah liya ke tum mere ghar ko Tawaaf karne walon aur Aitekaaf karne walon aur Ruku Sijood karne walon ke liye paak saaf rakho,
{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra, Aayat-No : 125 }
Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Qayamat na qayam hogi yahan tak ki Qibla-e-Doos ki Auraton (womens) ke sareen hilenge Zil-khalsah ke gird [ yani wo Tawaaf karengi iska ] Zawaalkhalsah ek Boot tha jisko Qibla-e-Doos jahiliyat ke zamane me puja karte the.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 8, Book: 93(Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7116 }
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 6, Book: (Kitab-ul-Fitan), Hadees-no: 7298 }
Tauhid Kya hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment