Shabaan ki haqeeqat

15 Shabaan Ki Haqeeqat:
As-salamu Alaikum warahmatullahi wabarkatahu.

15 Shabaan yani Laylatul Bara’at ya Shab-e-Bara’at ke saboot ke taur par yeh Ayat-e-Kareema pesh kiya jata hai,
Irshaad-e-Baari Taala hai:
“Inna anzalnahu fee laylatin mubarakatin inna kunna munzireen
Feeha yufraqu kullu amrin hakeem"

Yaqeenan Hum ne isey ba barkat raat mein utara hai beshak Hum darane wale hain.
Isi raat mein har ek mazboot kaam ka faisla kiya jata  hai.

We sent it (this Qur'an) down on a blessed night (i.e. Night of Qadr). Verily, We are ever warning.
Therein (that night) is decreed every matter of ordainments.
[Surah ad-Dukhan (44); Ayat-3, 4]

Ba barkat raat (laylatin mubarakatin) se muraad Shab-e-Qadr (laylatul Qadr) hai jaisa ki 2 sarih maqam par sarahat hai {Shahru Ramazana allazee unzila feehi alqur-an} (al-Baqarah 185) Ramzan ke mahine mein Qur'an nazil kiya gaya {Inna anzalnahu fee laylatil qadri} (Surah Qadr) Hum ne yeh Qur'an Shab-e-Qadr mein nazil farmaya.
Yeh Shab-e-Qadr Ramzan ke ashra akhir ke taq raaton mein se hi koi ek raat hoti hai. Yahan Qadr ki is raat  ba barkat raat karar diya gaya hai. Is ke ba barkat hone mein kya subaho sakta hai ki ek toh is mein Qur'an ka nuzool huwa doosra is mein farishton aur ruhul ameen ka nuzool hota hai. Teesra is mein saare saal mein hone wale waqiat ka ka faisla kiya jata hai. Chautha, is raat ki ibadat Hazar mahine(yani 83 saal 4 mah) ki ibadat se behtar hai. Shab-e-Qadr ya Laylatul Mubaraka mein Qur'an ke nazil ka matlab yeh hai ki is raat se Nabi ﷺ par Qur'an Majid ka nuzool shuru huwa yani pehle pahal is raat Aap par Qur'an nazil huwa ya yeh matlab hai ke Lauhe mahfooz se is raat Qur'an Baitul Izza mein utara gaya jo aasmani duniya par hai, phir wahan se hisabe zaroorat wa maslehat 23 saalon tak mukhtalif auqaat mein Nabi ﷺ par utarta raha. Baaz logon ne Laylatul Mubaraka se Shabaan ke panrahwi raat muraad li hai lekin yeh saheeh nahi hai, jab Qur'an ki nas e sarih se Qur'an ka nuzool Shab-e-Qadr mein sabit hai toh is se Shab-e-Bara'at murad lena kisi tarah bhi saheeh nahin. Alawa ijse Shab-e-Bara'at (Shabaan ki panrahwi raat) ki babat jitni bhi riwayat aati hain, jin mein is ki fazilat ka bayan hai ya in mein isey faisle ki raat kaha gaya hai, toh yeh sab riwayat sanad zaeef hain, yeh Qur'an ki nas-e-sarih ka muqabala kis tarah kar sakti hai?
[Ahsanul Bayan Fee Tafseer Maan’il Qur’an]

Allah Tabarak Wa Taala bayan farmata hai ki is azeem-o-shan Qur'an e Kareem ko ba barkat raat yani Laylatul Qadr mein nazil farmaya hai, jaise irshaad hai {Inna anzalnahu fee laylatil qadri} Hum se isey laylatul Qadr mein nazil farmaya hai aur yeh raat Ramzanul Mubarak mein hai. Jaise aur Ayat mein hai {Shahru Ramazana allazee unzila feehi alqur-an} Ramzan ka mahina woh mahina hai jis mein Qur'an Kareem utara gaya. Baaz logon ne yeh bhi kaha hai ki laylatul mubaraka jis mein Qur'an sharif nazil huwa woh Shabaan ki panrahwi raat hai, yeh qaul sarasar be daleel hai, is liye ki nas-e-Qur'an se Qur'an ka Ramzan mein nazil hona sabit hai aur jis Hadees mein marwi hai ki Shabaan mein agle shabaan tak ke tamam kaam muqarrar kar diya jata hai yahan tak ki Nikah ka aur aulaad ka aur maiyyat ka hona bhi woh Hadees mursal hai, aur aisi ahadees se nas-e-Qur'an ka ma'arij nahi kiya ja sakta.

Allah tells us that He revealed the Magnificent Qur'an on a blessed night, Laylatul-Qadr (the Night of Decree), as He says elsewhere:
{Inna anzalnahu fee laylatil qadri}
Verily, We have sent it down in the Night of Al-Qadr, (97:1)
This was in the month of Ramadan, as Allah tells us:
{Shahru Ramazana allazee unzila feehi alqur-an}
The month of Ramadan in which was revealed the Qur'an, (2:185)
[TAFSIR IBN KATHIR]

Tafseel ke liye zaroor suniye:
15 Shabaan ki Haqeeqat- Shaykh Abu Zaid Zameer
http://islamiclectures.net/15-shabaan-ki-haqeeqat/

No comments:

Post a Comment