Bap dada ka din

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : wo kahte hain ki hum to uski pairwi karenge jis par humne apne baap dada ko paya chahe unke baap dada kuch bahi nahi samajhte ho
-----------
165. Aur aise log bhi hain jinhoney Allah ke siwa aur shareek bana rakhey hain jinse aisee Muhabbat rakhtey hain jaisey ki Allah se rakhni chahiye aur Iman walon ko to ALLAH hi se zyada Muhabbat hoti hai aur Kaash zalim log jo baat azab ke waqt dekhnge , abhi dekh lete ki sab Quwwat Allah hi ke liye hai aur Allah sakht azab dene wala hai.

166. jab wo log bezar ho jayenge jin ki paairwi ki gayee thi un logo se jinhone pairwi ki thi. aur wo azab dekh lenge aur unke taluqqat tut jayenge

167. aur wo log kahenge jinhone pairwi ki thi , kaash humey (duniya mein) dobara jane mil jata to hum bhi inse bezar ho jate jaise ye humse bezar huye hain. is tarah Allah unke aamal hasrat dilane ke liye dikhayega aur wo dozakh se nikalne wale nahi

168. Eh logo un cheezo mein se khao jo zameen par halal pakeeza hai aur shaitan ke qadmo ki pairwi na karo beshak wo tumhara khula dushman hai

169. wo to tumhe burayee aur behayaee ka hukm dega aur ye (kahega) ki tum Allah ke zimmey wo baatein kaho jinhe tum nahi jante

170. Aur jab unse kaha jata hai ki uski pairwi karo jo Allah ne nazil kiya hai to wo kahte hain ki hum to uski pairwi karenge jis par humne apne baap dada ko paya, chahe unke baap dada kuch bahi nahi samajhte ho aur na hi seedhe raaste par ho
Al Quran , Surah AL-{Baqara (2), Verse 165-170}
---------------
English Translation:

165 And of mankind are some who take (for worship) others besides Allah as rivals (to Allah). They love them as they love Allah. But those who believe, love Allah more (than anything else). If only, those who do wrong could see, when they will see the torment, that all power belongs to Allah and that Allah is Severe in punishment.

166 When those who were followed, disown (declare themselves innocent of) those who followed (them), and they see the torment, then all their relations will be cut off from them.

167 And those who followed will say: "If only we had one more chance to return (to the worldly life), we would disown (declare ourselves as innocent from) them as they have disowned (declared themselves as innocent from) us." Thus Allah will show them their deeds as regrets for them. And they will never get out of the Fire.

168 O mankind! Eat of that which is lawful and good on the earth, and follow not the footsteps of Shaitan (Satan). Verily, he is to you an open enemy.

169 He (Satan) commands you only what is evil and Fahsha (sinful), and that you should say against Allah what you know not.

170 When it is said to them: "Follow what Allah has sent down." They say: "Nay! We shall follow what we found our fathers following." (Would they do that ) even though their fathers did not understand anything nor were they guided?
{Al Quran , Surah AL-Baqara (2), Verse 165 -170}

No comments:

Post a Comment