AETAKAAF K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

AETAKAAM SUNNAT E MOKKADA KIFAYA HAI AUR USKI MUDDAT 10 YAUM HAI
HAR MUSALMAN KO RAMAZAANUL MUBARAK MEIN KAM AZ KAM EK MARTABA QURAN PAAK KI TIWAYAT KARNI CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne har saal (ramazaan mein) ek baar quran padha jata tha, jis saal Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne 2 martaba quran majeed khatam kiya gaya, isi tarah har saal Aap 10 din ka aetakaaf farmate lekin jis saal Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi us saal 20 yaum ka aetakaaf farmaya. (Mishkatul Masabeeh Hadees no. 2099)

AETAKAAF K LIYE FAJR KI NAMAZ K BAAD AETAKAAF KI JAGAH BAITHNA MASNOON HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab aetakaaf mein baithne ka irada farmate to fajr ki namaz padh kar matakaf mein dakhil hote. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2152)

AETAKAAF KARNE WALE KI BEEWI MULAQAAT K LIYE AA SAKTI HAI AUR AETAKAAF KARNE WALA BEEWI KO GHAR TAK CHOODNE K LIYE MASJID SE BAHAR JA SAKTA HAI

Hazarat Safeeya Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aetakaaf mein they mein raat ko Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milne aayi aur baatey karti rahi, wapas jaane k liye uthi to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe choodne k liye uth kar khade hue. (Muttafakun Alaih, Muntaqal Akbar juz awwal Hadees no. 2280)

MARDO KO AETAKAAF MASJID MEIN HI KARNA CHAHIYE
RAMAZAAN MEIN AETAKAAF K LIYE ROOZA RAKHNA ZAROORI HAI
HAALAT E AETAKAAF MEIN BIMAAR KI IYADAT K LIYE JANA, JANAZEY MEIN SHAREEK HONA, BEEWI SE MUJAMAAT KARNA, BASHRI TAQAZO K BAGAIR AETAKAAF KI JAGAH SE BAHAR JANA MANA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai "Aetakaaf karne wale k liye sunnat ye hai k wo bimar ki iyadat ko na jaye, janazey mein shareek na ho, beewi ko na chooye aur na us se mujamaat kare, aetakaaf ki jagah se aese zaruri kaam (yani qaza e haajat, farz gusal wagairah) k bagair na nikle, jis k bagair chaara hi na ho aetakaaf roozey k saath hi hota hai aur jaama masjid mein hota hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2160)

AURATO KO BHI AETAKAAF KARNA CHAHIYE

Hazrat Ayesha Razi Allah Anha se riwayat hai k Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaanul mubarak k aakhiri ashrah (21 se 30 ramazaan ul mubarak) tak aetakaaf farmaya karte they yaha tak k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki azwaaj e mutahharaat ne aetakaaf kiya. (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 633)

AGAR KISI KO AETAKAAF K LIYE 10 DIN MAYASSAR NA AA SAKEY TO JITNE DIN MAYASSAR HO UTINE DINO KA HI AETAKAAF KAR LENA CHAHIYE HATTA K EK RAAT KA AETAKAAF BHI DURUST HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Mene zamana e jahaliyat mein masjid e haraam mein ek raat ka aetakaaf karne ki nazar maani thi (puri karu ya na karu?) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni nazar poori kar". (Bukhari Kitabus Saum Baab Aetakaaf laila)

No comments:

Post a Comment