Bismillahirrahmanirraheem
LAILATUL QADR MEIN IBADAT GUZISHTA GUNAHO KI MAGFIRAT KA ZARIYA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne lailatul qadr mein emaan k saath sawab ki niyat se qayam kiya uske guzishta gunaah maaf kar diye jate hai". (Sahih Bukhari Kitabus Saum Baab Fazala lailatul qadr)
LAILATUL QADR KI SA'AADAT SE MEHROOM REHNE WALA BAHUT HI BAD-NASEEB HAI
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ramazaan aya, to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ye jo maheena tum par aya hai is mein ek raat aesi hai jo (qadr wa manzilat k aetabaar se) hazaar maheeno se behtar hai jo shaks is (ki sa'aadat hasil karne) se mehroom raha wo har bhalayi se mehroom raha, neez farmaya: "Lailatul qadr ki sa'aadat se sirf bad-naseeb hi mehroom kiya jata hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1333)
LAILATUL QADR, RAMAZAAN K AAKHIR ASHREY KI TAAQ RAATO MEIN TALAAS KARNI CHAIHYE.
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ramazaan k aakhiri ashrey (10 din) ki taaq raato mein lailatul qadr ki talaash karo". (Bukhari Kitabus Saum)
RAMAZAAN K AAKHIRI ASHREY MEIN BAHUT ZAYADA IBADAT KARNI CHAIYE
RAMAZAAN K AAKHIRI ASHREY MEIN APNE AHL O AYAAL KO IBADAT K LIYE KHASOOSI TARGEEB DILANA MASNOON HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai "Ramazaan k aakhiri ashrey mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baaqi raato ki nisbat ibadat mein zayda koshish farmate they". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1429)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai "Jab ramazaan k aakhiri 10 din shuru hote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ibadat k liye) kam basta ho jate, raato ko jaagte aur apne ahl o ayaal ko bhi jagatey". (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 730)
AAKHIRI ASHREY KI TAMAAM RAATO MEIN JAAGNE KI FAZILAT NA PAANE WALO K LIYE LAILATUL QADR KA BHAR POOR SAWAB HASIL KARNE K LIYE 2 AHAM AHADEES
Hazrat Abuzar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis ne (ramazaan mein) imam k wapas hone tak imam k saath qayam kiya (yaani namaz taraweeh ba'jamaat ada ki) us k liye saari raat qayaam ka sawab likha jayega". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1646)
Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna "Jisne isha ki namaz ba'jamaat ada ki usne goya nisf raat qayam kiya aur jine (namaz isha ba'jamaat ada karne k baad) subah ki namaz ba'jamaat ada ki usne gooya saari raat qayam kiya". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 324)
RAMAZAANUL MUBARAK MEIN RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAHIH WA SALLAM KASRAT SE TILAWAT E QURAAN AUR INFAAQ FI SABILILLAH FARMAYA KARTE THEY
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k saath bhalayi karne mein bahut sakhi they, lekin ramazaan mein jab Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milte to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur bhi zayada sakhi ho jate, ramazaan mein Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam har raat Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mila karte aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan guzarne tak unhey quraan majeed sunate, jab Jibraeel Alaihis Salaam Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milte to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sakhawat taiz hawao se bhi zayada badh jati. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)
LAILATUL QADR MEIN YE DUA PADHNI CHAHIYE
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai mene pucha "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar mein shab e qard paalu to kaun si dua padhu?, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya kaho: "ALLAHUMMA INNAKA AFOOWUN TUHIBBUL AFWA FAAFU ANNI" Tarjuma: "Ya Allah! to maaf karne wala hai, maaf karna pasand karta hai lihaza mujhe maaf farma". (Mishkatul Masabeeh Hadees no. 2091)
No comments:
Post a Comment