SADQA-E-FITR KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

1.Sadqa e fitr farj hai

2.sadqa e fitr ka maqsad roze ki halat me sarjad hone wale gunaho se khud ko
paak karta hai

3.sadqa e fitr namaz eid se pahle ada karna chahiye warna aam sadqa shumar
hoga

4.sadqa e fitr ke musthik wohi log hai jo zakat ke mustahik hai

>hazarat ibne abbas rz. se riwayat hai ke rasulullah sallalaho alaihi
wassalam ne farmaya sadqa e fitr,roze daar ko behayahi aur fahash bato se
paak karne ke liye niz  mohtazo ke khane ka intjam karne ke liye farz kiya
hai.jis ne namaz eid se pahle ada kiya is ka sadqa fitr ada hoga aur jis ne
eid ke baad ada kiya is ka sadqa aam sadqa shumar hoga.

(SUNAN IBNE MAZAH-1480)

5.sadqa e fitr ki miqdar ek saa hai, jo pone tin sair ya dhai(2.5) killo
garam ke barar hai.

6.sadqa e fitr har muslaman gulam ho aazad , mard ho ya aurat,chhota hoya
bara,rozedar ho ya gair rozedar,sahibe nisab ho ya na ho,sab par farz hai.

>Hazarat ibne umar rz. se riwayat hai ke rasulullah sallalaho alaihi
wassalam ne razman ka sadqa e fitr ek saa khajur ya eksaa
jao,gulam,azad,mard,aurat,chhote bare har musalman par farz kiya hai.

(SHAHIH BUKHARI,KITABUZ ZAKAT,BAB SADQA E FITR)

WAZAHAT: jis sakhash ke paas ek din raat ki khorak mayassar na ho woh sadqa
ada karne se mutshana hai.

7.sadqa e fitr galle ki surat me daina chahiye

8.Gehu,chawal,khajur,munaqa ya panir maise jo chiz jayada istemal ho wahi
deni chahiye.

>Hazarat abu saeed rz. farmate hai ke ham sadqa fitr ek saa galla ya ek saa
jau ya ek saa khajur ya ek saa munaqa diya karte the.

(AL LULU WAL MARJAN,JILD-1,572)

9.sadqa e fitr ada karne ka waqt aakhari roza iftar karne ke baad shuru hota
hai lekin Eid ke ek do din pahle ada kiya ja sakta hai.

10.sadqa e fitr ghar ke sarparst ko ghar ke tamam afrad bivi,bachche aur
mulajimo ki taraf se ada karna chahiye.

>Hazarat nafe rz. se riwayat hai ke ibne umar rz. ghar ke chhote bare tamam
afrad ki taraf se sadqa e fitr dete the mere beto ki taraf se bhi dete the aur ibne umar rz. in logo ko dete the jo qubul karte aur EID-UL-FITR se ek ya do din pahle dete the.

(SHAHIH BUKHARI,KITABUZ ZAKAT,BAB SADQATUL FITR)

No comments:

Post a Comment