SAHABA AUR MOHDDISIN KA AHLE HADITH HONA

"Main duniya me pehla AHLE HADITH hoon"

Hz. Abu Huraira RA

(Tazkiratul Huffaz part 1 pg 34)

" Hamesha haq par rahne waali jamaat agar AHLE HADITH nahi hai to phir main nahi jaanta ki wah kaun hai??"

Imam Ahmad bin Hambal (Sharf Ashabul Hadith)

" Jis jamat ke baare me huzoor (saw) ne farmaya wah hamesha haq par rahegi us se muraad AHLE HADITH jamaat hai"

(Ameer-ul-Momineen fil hadith Hz. Imam Bukhari rh)

" Farishte aasmaan ke pahredaar hain aur AHLE HADITH zameen ke"

( Imam Sufiyan Suri rh 'Sharf Ashabul hadith)

"AHLE HADITH musalmano me aise hain jaise Ahle-Islam tamaam mazhab me"

Sheikh-ul-islam Imam Ibne Taymiyyah ra .....' Naqzul Mantik pg 33'

" Aiy allah! Mujhe qayamat ke din AHLE HADITH ki jamaat me karna"

Hz. Khwaja Sayyed Moinuddin Hasan Chishti Ajmeri rh.

(Tazkira tus Salihin part 3 pg 249)

Hazrat-e-Abu hurairah rz jo mashoor sahabi hai, unhonay apnay aap ko AHLE-HADEES kaha hai dekhiye "Ashaab" jild 4 , page 204 , aur Padhoo "Tazkirat-ul-Hifaz" jild 1 , page 29 , aur padhoo "Tawarikhi Bagdad", jild 9 , page 467..... ALLAHU AKBAR..

Abu Huraira r.a par hamara sub kurbaan...

HZ ABDULLAH BIN ABBAS (RA) KO AHLE-HADEES KAHA gaya hai jo mashoor tareen sahabi hain...

{Dakho " TAVARIKH I BAGADAD", Page 227 , JILD 3. }....

ALLAH U AKBAR...

 Dawat-e-Haqq Quran Aur Hadees Manhaj-e-Salaf.

No comments:

Post a Comment