SHASA EID KE ROZO KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat abu ayub ansari razi Allah anho se rivayet hai ke Allah ke rasool sale Allah aleh wasallam ne irshad farmaya : jis ne ramadaan ke rozay rakhay uskay baad shawwal ke chhe (6) rozay rakhay to yeh zamane bhar roza rakhnay ke manind hai .

{ sahih muslim-1164, abbu dawd-2433, Tirmizi-759 }

Tashreeh :
    Musalmanoon ko unkay naik aamaal par Allah Tabarak o taala apne fazl vkrm se kam az kam das Guna ajar ata farmata hai hai, Jo shakhs naik kaam kere ga usko uskay das gunah mile ge aur jo shakhs bura kaam kere ga usko uskay barabar hi saza milegi aur un logon par zulm nah hoga .{al-Anaam : 160}

isi qaiday ke mutabiq aik mahinay ramadaan ke rozay das mahino ke barabar hain aur uskay baad shawwal ke chhe (6) rozay bhi rakh liye jayen to yeh do mahino ke barabar ho gaye, yun goya ramadaan ke baad shawaal ke chhe (6) { shasha Eid ke } rozay rakh lainay wala poooray saal roza rakhnay ke ajar ka mustahiq thehra, dusray lafzon mein is ne pooray saal ke rozay rakhay aur jis ka yeh mustaqil mamool raha to woh aisay hai jaisay is ne poori zindagi farz rozay ke sath guzari, is aitbaar se yeh shasa EID ke rozay bari ahmiyat ke haamil hain, goya unki hesiyat nafli rozon hi ki hai, chunancha aap sale Allah aleh wasallam ne farmaya : Allah Tabarak wa tala ne neki ke badle das guna rakha hai, istarah { ramadaan ka } aik maheena das mahino ke barabar thera aur eid ul fittar ke baad { shawwal ke } chhe (6) rozay { 2 mahino ke barabar hain, is tarah } aik saal poora hogaya .

{ sahih Ibn Khuzaima : 2615, Nasai alkabri : 2861 }

yeh chhe(6) rozay musalasal rakh liye jayen ya nagha karkay dono tarha jaaiz hai taham shawwal ke mahinay mein rakhnay zurori hai, isi tarha jinke farz rozay bemari ya safar waghera ya kisi aur sharai ujr ki wajah se reh gaye hon unkay liye ahem yeh hai ke pehlay woh farz rozon ki qaza karen .

Ramadaan al mubarak ke baad shasa Eid ke rozay rakhnay ke muttalik fayade ulama ne zikar kya hai, jaisay :

{ 1 } ramadaan al mubarak ke baad shasa Eid ke rozay rakh lainay ka sab se bara fayda yeh hai ke poooray saal farz roza rakhne ka ajar milta hai. jaisa ke abhi guzra hai ,

{ 2 } ramadaan se pahle ya baad shabaan wa sawwal ke rozay farz namaz se pehle ya baad wali Moakkeda sunnato ke mushaba hain jinka fayda yeh hai ke farz ibadato mein jo kami waqay hui hai qayamat ke din sunto se is kami ko poora kya jaye ga jaissa ke bohat si Hadees mein uska zikar warid hai

{ dekhye sunan Tirmizi : 413 }

aur yeh bhi amar waqay hai ke hum mein se har shakhs se rozay ke haqooq mein kotahi hoti hai, koi apni nazar ki hifazat nahi kar pata kisi ko zubaan par qaboo nahi rehta waghera waghera .

{ 3 } ramadaan ke rozay rakh lainay ke baad shasa Eid ke rozay rakhna aur shawwal ke rozon ka ihtimaam karna ramadaan ke rozon ki qabuliat ki aik ahem alamat hai, kyunkay jab Allah taala bande ki kisi neki ko qubool farmata hai to usay mazeed neki ki tofeek bakhshta hai jis tarha agar koi shakhs kisi ke yahan mehman ho phir agar rukhsati ke waqt maizban dobarah anay ki dawat day aur is par israar kare to yeh uska matlab hai ke mehmaan ki aamd par usay khushi aur uski aamad qubool hai, isi tarha agar aik neki ke baad bande ko isi qisam ki ya kisi aur qisam ki neki ki tofeq mil jaye to yeh is baat ki Daleel hai ke uski yeh neki Allah taala ki bargaah mein Sharf qabuliat se Sarfraz hui hai jis tarah ke agar koi shakhs naik amal karne ke baad phir gunah ke kaam karne lagey to yeh is baat ki alamat hai ke uska yeh naik amal Allah taala ke nazdeek mardood hai "is mein koi shak nahi ke namaz be hiyai aur burai ke kaam se rokti hai ."

{ 4 } ramadaan al mubarak se mutaliq yeh irshad nabwi hai ke :" aik ramadaan dosray ramadaan taq ke gunaaho ka kaffara hai" { sahih muslim } neez" jis ne imaan wa ahtesab ke sath ramadaan ke rozay rakh liya uskay tamam masabak gunah Muanf kardiye gaye" { sahih bukhari wa Muslim} aur rozay daar eid ke din be hisaab ajar se nawazay jatay hain { INSHALLAH taala } lehaja azeem ellahi Nemat is baat ki haqdaar hai ke is par baari taala ka shukar ada kya jaye jis tarah ke nabi sale Allah aleh wasallam ke dono qadam jab tole qiyam ki wajah se phatt jatay to maai aisha razi Allah anho ne sawal kya : aap itni mushaqqat kyun bardasht karte hain jab ke Allah taala ne aap aglay pichlle tamam gunah bakhash diye hain? aap sale Allah aleh wasallam ka jawab tha : kya mein Allah taala ka shukar guzaar bandah nah banon?

{ sahih bukhari wa muslim }

maloom howa ke gunaaho ki maffi bande se shukriya ka mutalba karti hai, isi terha ramadaan al mubarak ke rozon ke baad jinki wajah se bande ke gunah maaf hue hain shawwal ke rozay rakhna is azeem Nemat par Allah taala ka shukriya adakrna hai uskay barkhilaf ramadaan ka maheena guzarte hi dobarah gunaaho ki taraf palat aana un badbakht logon mein shaamil hona hai jin se mutaliq Allah taala ka farmaan hai :

kya aap ne unki taraf nazar nahi daali jinhon ne Allah taala ki Nemat ke badlay nashkri ki aur apni qoum ko halakat ke ghar mein laa utaara, yani jahannum mein jismen yeh sab jayen ge jo badtareen thikana hai .

{Surah Al-Ibrahim 28,29}

{ 5 } ramadaan al mubarak ke baad shawwal aur uskay baad ke mahino mein naik amal khas kar woh naik aamaal jnka ramadaan al mubarak mein khusoosi ihtimaam hota hai jaisay : roza, qiyamul lail , tilawate quran, aur sadqa waghera ka silsila khatam nahi hota balkay bandah jab taq zindah hai uskay naik aamaal ka silsila jari rehta hai
aur apne rab ki ibadat karte rahen, yahan taq aapki mout aajay ,
{Al-hazar -99}

aur Allah taala ke nazdeek sab se mehboob amal yeh hai ke is par mudawmat ki jaye chunancha nabi sale Allah aleh wasallam se sawal kya gaya ke Allah taala ke nazdeek sab se pasandeeda amal kya hai? aap ne farmaya : jo amal barabar kya jaye khuwa woh thora hi kyun nah ho

{ sahih bukhari , Muslim }

lehaza ramadaan ke baad shasa Eid ke rozon ka ihtimaam ka mana yeh hai ke ramadaan guzar jane ke baad bhi bandah Allah taala ki ibadat mein mashgool rahe, kisi buzurag ne kya khoob kaha ke woh log bohat hi buray hain jo Allah taala ke haq ko sirf ramadaan mein pehchante hain hlanke Allah taala ke naik bande pooray saal Allah taala ki ibadat karte hain { lataif al-maarif }

fawaid :

1 – shasa Eid ke rozon ki ahmiyat ke ramadaan ke baad inka ihtimaam karne se poooray saal farz roza rakhnay ka ajar milta hai .

2 – neki ke baad neki Allah taala ke nazdeek neki ki qabuliat ki alamat hai .

3 – neki ke baad buraiee is neki ke ajar ko barbaad kardeti hai .

khatam shuda

No comments:

Post a Comment