AJNABI ORTON SY MUSAFIHA KERNY KI HURMAT

AJNABI ORTON SY MUSAFIHA KERNY KI HURMAT

Question :
Islam ny gair mehram mardon per orton sy musahifa kerna Q haram qarar dia hai? kia bagair shehwat k orat sy musahifa kerna naqiz wanu hai?
Answer :
Islam ny gair mehram mardon per orton sy musahifa kerna is liye haram qarar dia hai k ajnabi orton ko chona bary bary fitnu mai sy hai. her woh cheez jo fitno ka sabab hu shara ny is sy mana kia hai.
Irshad Nabvi hai:

"mai orton sy musahifa nahi kerta."
sanan ebn majah' hadis: 2874' wa sanan an'nasai' hadis: 4186.
issi liye fasad sy bachny ki khatir shariyat ny nazrain jhuka k rakhny ka hukam dia hai.
Irshad bari Ta'la hai: "(Aye Nabi!) momin mardo sy ker dijeye k woh apni nazrain neechi rakhain aur apni sharam gahu ki hifazat karen yh in k liye bohat pakeeza (amal) hai, jo kuch woh kerty hain, Bilashubaah Allah is sy khoub bakhaber hai. aur app momin orton sy keh dijeye k woh bhi apni nazrain neechi rakhen aur apni sharamgahu ki hifazat karen.
Al Noor 24:30, 31.
Jab koi shakhs apni bivi ko choaye (hath lagaye) to agarcha yh shehwat k sath hi Q na hu, naqiz wazu nahi, haan is k natejey mai agar mani ya mazi ka ekhraj hu to mani nikalny ki sorat mai gusal kerna zarori hai jabk mazi nikalny ki sorat mai sharamgah aur fotu ko dhony k bad wazu kerna wajib hai.
Hazrat Ali R.A. ny miqdad R.A. k zariye sy Nabi Akrem (S.A.W) sy masla deryaft kia k agar mazi nikal jaye to kia kerna chaheye. App ny farmaya:

"Apni sharamgah ko dhou ker wazu ker lo."
[sahi albukhari' hadis: 269.]
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

No comments:

Post a Comment