AURAT KI SHARAM GAAH SY NIKALNY WALIRATOBAT KA HUKAM

AURAT KI SHARAM GAAH SY NIKALNY WALIRATOBAT KA HUKAM

Question :
Mai ny aik aalim sy suna k aurat ki sharamgah sy nikalny wali ratobat pak hai.Mai ny jab sy yh fatwa suna to namaz ada kerny k liye mutasra shalwar nahi utarti thi.arsadaraz k baad aik dosry alim sy suna k aisi ratobat paleed hai.is bary mai darust baat kon si hai?
Answer :
Qabal ya daber (aagy ya pichy waly hissey) sy nikalny wala pani wagaira naqaz wazu hai.woh kapry ya badan ko lag jaye to issy dhona zarori hai agar yh daimi amar ho to iska hukam Estehaza aur sals albol wala hai,yani aurat ko istanja kerny k baad her namaz k liye wazo kerna hoga.Qk Nabi (S.A.W) ny mustehaza aurat sy farmaya tha:

"Her namaz k liye wazo ker liya karo."
sahi albukhari'hadis:228'wa sanan abi daud'hadis:292,wa jamia al tramzi'hadis:125.
Agar sirf Hawa kharij ho to namaz k liye wazo karna parega aur estanja kerny ki zarorat nahi hogi ratobat kharij huny ki sorat mai namaz k wazo ki tarhan kerna hoga, Yani hath dhona,kulli kerna,naak mai pani charhana,mou dhona,kohniyon tak bazo dhona,sar ka masa kerna aur takhnu samait paon dhona.
YAhi hukam sowny,sharam gaah ko chony aur onte ka gosht khany ka hai.in tamam soraton mai wazo kerna zarori hai.
Is bary mai sahi tareen qaul yh hai k ratobat farj pak hai,agar kapry per lag jaye to kapra paleed nahi hota, tahum is k kharij hony ki sorat mai wazo toot jata hai,lehaza dobara wazo kerna lazim hai. (Abdul Wali) Wa Allah walee al tougeeq (shiekh ebn baaz

No comments:

Post a Comment