SAR PER MEHANDI LAGANA NA TO NAQIZ TAHARAT HAI AUR NA HI MASAH K LIYE IS KA HUKAM

SAR PER MEHANDI LAGANA NA TO NAQIZ TAHARAT HAI AUR NA HI MASAH K LIYE IS KA HUKAM
Question :
Aik aurat ny wazo kerny k sar per mehandi lagai aur phir namaz ada kerny lagi.kia is ki namaz darust hai? agar iska wazo toot gaya to kia mehandi per masah kery gi ya baal dho ker is per masah kary gi, yani adaigi namaz k liye baqaidah naya wazo kerna hoga?
Answer :
Taharat (sugra ya kubra) hasil kerny k baad sar per mehandi lagana naqiz taharat nahi hai. agar aurat wazo ya gusal k bad sar per laip kary yo taharat Sugra (wazo) k liyr mehandi k opar sar ka masah kerna kafi huga. lekin taharat kubra (gusal) kerny ki sarat mai sar ka masah kafi na hoga blky is per 3 bar pani dalna zarori hai.iski daleel yh hai k Hazrat Umme Salma R.A. ny arz kia: YA RAsool Allah! mai apny sar k balon ko kas ker bandhti hoon,kia gusal janabat k liye inhain khulna hoga? is per App (S.A.W) ny farmaya:

"Nahi tery liye yahi kafi hai k to sar per 3 lap pani daal ly, phir apny jism per pani baha ly to tou pak hujaygi."
sahi muslim'hadis:330'wa sana abi daud'hadis:251 wa jamia al tramzi' hadis:105.
Wesy agar aurat haiz k baad gusal kerty wqt inhain khol ly to ziadah behtar hai Qk kuch deegar ahadis iski moeed hain. (shiekh ebn baaz)

No comments:

Post a Comment