BATIL VASIYET KERNA

BATIL VASIYET KERNA

Question :
Mery walid ny apni mamlo k zarai zameen k muta'aliq vasiyet ki k mery merny k baad mery falaa bty k naam alaat kerdo, jab k is bety k elawah iski 4 bitiyan bhi hain kia aisa kerna jaiz hai? agar baap ki zameen ko aik bety aur 4 betiyon mai taqseem ki jaye to taqseem kaisy hogi?
Answer :
Allah Ta'ala ny Quran Majeed mai maiyet ki virasat ki taqseem ka asool biyaan farma dia hai:

"Allah tumhain tumhari olaad k muta'aliq vasiyet kerta hai, aik mard ka hissa 2 orton k hissey k braber hai."
Al nissa 4:11.
App (S.A.W) ny farmaya:

"Allah TA'ala ny her haqdar ko is ka haq dey dia hai, is liye waris k liye vasiyet nahi."
sanan abi daud' hadis:2870' wa jamia at'tramzi' hadis: 2120.
es bina per baap ki aik bety k naam vasiyet batil hai, lehaza is ka nifaz najaiz hai, haan, agar tamam sharai virsa is per apni raza mandi aur muvafqat ka izhar ker dain to phir koi harj nahi. lekin agar sharai virsa aisa na karen to is sy zarai zameen wapis laina aur tamam virsa mai Allah Ta'ala k muqarer kerdah asool k mutabiq taqseem kerna zarori hai. yh tarka tamam varison mai taqseem hoga. agar aik bety aur 4 betiyon k elawah aur koi waris na ho to

k asool k tahet tarka taqseem hoga. is khait ki qeemat taqseem ki jayegi aur maiyet ny jo 6 hissey tarky mai chorey hain to her larki ko aik hissa aur larky ko 2 hissey milen gey, yani agar virsa faqat yahi hoon to jaidad k kul 6 hissey karen gey. bety ko 2 hissey aur her her beti ko aik aik hissa milega. (shiekh Mohammad bin saleh esimeen)

No comments:

Post a Comment