BIVI KA APNY KHAWAND KO NASIHET KERNA
Question :
Khawand masjid mai namaz bajamat ada kerny mai susti kerta hai, is per bivi issy samjhati hai. kia bivi aisa kerny sy gunaahgar hogi k khawand ka haq bivi per ziada hai?
Answer :
Agar khawand sharai muherikat ka irtekab kerta hu, Maslan: woh namaz bajamat ada kerny mai susti kerta hai ya manshiyat ka istemal kerta hai ya raat bhar tamash bini kerta hai aur is per bivi issy nasihat kerti hai aur is per bivi issy nasihet kerti hai to woh gunaahgar nahi hogi balky ajar-o-sawab ki mustahiq qarar paigi.
Irshad bari Ta'ala hai:
"'momin mard aur momin ortain apas mai aik dosry k madadgar hain, woh naiki ka hukam daity hain aur burai sy rokty hain aur namaz qaeem kerty hain aur zakat daity hain aur Allah aur is k Rasool ki etat kerty hain, yahi log hain jin per Allah zaror rahem farmaiga. beshak Allah zaberdast hai' khoub hikmat wala."
At-Touba 9:71
Jab k Rasool Allah (S.A.W) farmaty hain:
"tum mai sy jo shakhs burai deky to issy apny hath st mita dey, agar is ki taqat na hu to zuban sy roky aur agar yh bhi na ker saky to dil issy bura jany aur yh kamzor tareen emaan hai."
Sahi muslim' hadis:49.
Haan nasihet bindaz ahsan aur naram lehjy mai kerni chaheye kyun k is tarhan is ka qabool kerna aur is sy faidah uthana nisbatan asaan hota hai.
Shaikh Ibn Baz
No comments:
Post a Comment