MERA KHAWAND CIGARETTE NOSHI KERTA HAI
Question :
Mera khawand cigarette nosh hai jis sy woh sans ki takleef mai mubtala rehta hai, is k is fail sy baaz na aany ki wajah sy hamari zindagi mai kai mushkilat ny janam lia hai. 5 maah qabal is ny 2 rikat namaz nafil ada ker k qasam uthai k woh dobara cigarette noshi nahi keryga magar is k aik hafta baad hi woh dobara cigarette peeny laga, chanacha mai ny is talaq ka mutalba ker dia to is ny dobara aisa na kerny aur hamesha k liye is adat ko chorny ka wadah kia lekin ab mujhy is per qatan airmad nahi raha. is bary mai app ki darust rai kiya hai? iski qasam ka kufara kia hai? app mujhy kia nasihet kerna chahen gey?
Answer :
Cigarette noshi haram aur khabees ashia mai sy hai. is k beshumar nuasanaat hain. Quran Hakeem mai sorat Maidah k ander Allah Ta'ala ka farman hai:
"App sy deryaft kerty hain k is k liye kia kuch halal kia gaya hai? farma dijeye: Pakeeza cheezain tumhary liye halal ki gae hain."
Almaida 5:4.
Allah Ta'ala ny sorat Airaf mai Nabi Akrem (S.A.W) k osaaf biyan kerty huway farmaya:
"Aur woh in k liye pakeeza cheezain halal kerta hai aur khabees cheezo ko in per haram qarar daita hai."
Al airaaf 7:157.
aur is mai koi shak nahi k cigarette khabees cheezon mai sy hai, lehaza app k khawand per is ka tark karna wajib hai. Allah Ta'ala aur is k Rasool (S.A.W) ki etat k k paish-e-nazar, zaat bari Ta'ala ki narazi k asbab sy bachny ki khatir, apny deen, sahet aur gharelu hussan muashret ki khatir app k khawand ko cigarette noshi tark ker daini chaheye.
Qasam torny k juram mai is per kufara wajib hai. is k sath hi issy Allah Ta'ala k Hazoor touba kerna aur aindah k liye aisa na kerny ka aihed kerna chaheye. kufara 10 maskinu ko khana khilana ya inhain libaas pehnana ya gardan (gulaam) azaad kerna hai, khana khilana ki sorat mai inhain subha ya shaam ka khana khilana kafo hoga ya her aik maskeen ko shehri khurak sy nisf sa'a daina hoga. nisf sa'a ki miqdar taqreban kilo hai.
Hum apko wasiyat kerty hain k agar woh namaz parhta hai aur iski seerat achi hai aur cigarette noshi bhi chor daita hai to is sy talaq ka mutalba na karey aur agar woh is ma'asiyet per maser rahy to talaq ka mutalba kerny mai koi harj nahi hai. Hum Allah Ta'ala sy is k liye hadayat aur khalis touba ki toufeeq k liye duagu hain (shiekh ebn baaz)
Itba ki musalsal tehqeq sy sabit huwa hai k cigarette noshi cancer, heart attack, jiger, maidey aur pheparon ki akser bimariyon ka bunyadi sabab hai. cancer k 90 % mareez cigarette nosh pai gaye hain. aik serway k mutabiq 50 lakh salana cigarette nosh halaak hujaty hain jab k 2020 tak is ki tadad aik karore sy mujawiz huny ka khatra hai, lehaza aisi khater naak aur muhlik cheez sy bachna zarori hai. irshad bari ta'ala hai: "aur tum apny hath halakat (k kaam) mai na dalo." [al bakra 2:195] naiz irshad farmaya: "aur tum apny apko qatal na karo, beshak Allah tum per bohat rahem kerny wala hai." [alnissa 4:29]
No comments:
Post a Comment