BORHI ORAT PER EDDAT KA WAJOOB AUR ISKI HIKMAT

BORHI ORAT PER EDDAT KA WAJOOB AUR ISKI HIKMAT

Question :
Aik satar sala orat ka khawand fout hugaya jo k aqal-o-shaour ki hamil na thi aur khawand ki khidmat kerny ki position mai bhi nahi thi, jab iska khawand fout huwa to woh is k uqad mai thi, kia es per bhi aam orton ki tarha eddat guzarna wajib hai? aur agar borhi orat per edat guzarna dosri orton ki tarha wajib hai to is mai kia hikamt hai? jab eddat ki mashroiyat k amaqsad orat k hamala ya gair hamla huny ka yaqeen hasil kerna hai to aisi orat k liye to hamal ka emkan hi nahi, phir eddat kis liye?
Answer :
Sawal mai mazkora orat eddat guzarey. iski eddat 4 maah 10 din Allah TA'ala k is irshad k amoom mai dakhil hai:
Al Bakra 2:234.

"Aur tum mai sy jo log fout hujayen aur biviyan chor jayen inki bbiviyan apny app ko 4 maah aur 10 din intezar mai rakhen."
Orat k mamer huny aur hamal ki salahiyat na rakhny k bawajod is k eddat guzarny ki hikmat uqad nikkah ki ta'azeem, is ki qadar-o-monzilet aur sharf-o-bazurgi ka izhar, naiz khawand k haq ki adaigi aur tazeen-o-tajmeel sy perhaiz ker k is ki wafat k natejay mai murtab huny waly asraat ka izhar kerna maqsood hota hai, issy liye shariyat ny baap aur bety sy kahiin ziadah khawand ka soug manany ko mashrou qarar dia hai. hamla orat ki eddat faqt wazeh hamal hai.
Qk Allah Ta'ala ka yh hukam aam hai:

"aur hamla orton ki eddat wazeh hamal hai."
At'talaq 65:4.
Aur yh ayaat Allah Ta'ala k derj zail farman k amomi hukam ki takhsees ker rahi hai:

"Aur tum mai sy jo log fout hujayen aur biviyan chor jayen inki bbiviyan apny app ko 4 maah aur 10 din intezar mai rakhen."
Al bakra 2:234.
Wazeh hamal sy eddat khatam huny ki hikmat yh hai k chonkey hamal pehly khawand ka haq hai, agar hamla orat ny khawand ki wafat ya kisi aur wajah sy judai k baad foran nikkah ker lia to dosrey khawand ny apna pani gair ki kheti ko pilaya aur yh jaiz nahi hai Qk App (S.A.W) ka irshad hai:

"Kisi musalman k liye jo Allah aur roz-e-akhret per emaan rakhta hia yh jaiz nahi hai k woh apna pani gair ki kheti ko pilaye."
sanan abi daud' hadis: 2158' wa jamia At'tramzi' hadis: 1131' wa masnad ahmed: 4/108.
aik musalman per sharai aihkam ki takmeel kerna zarori hai, issy in aihkam ki hikmat ka ilm hu ya na hu. issy is baat ka yaqeen hona chaheye k Allah Ta'ala apni jumla mashroaat mai hakeem hai, jissy Allah Ta'ala hikmat ki ma'arfat ata farma dey to yh Noor alla Noor aur sarapa kher hai.
Dar-ul-ifta

No comments:

Post a Comment