MULAZIM ORAT KI EDDAT
Question :
Jab kisi musalman mulazim orat ka shoher fout hujaye aur woh kisi aisy mulk mai row rahi hu jahan kisi qareebi ki wafat per 3 din sy ziadah rukhsat na milti hu to woh kis tarha eddat guzarey? Qk sharai tareeky sy eddat guzarny ki sorat mai issy mulazmat sy berkhast ker dia jayega, kia rozi kamany ki wajah sy is deeni fareezay ko tark ker sakti hai?
Answer :
Es orat ko chaheye k tamam arsa eddat mai sharai eddat aur soug ki pabandi kery. woh orat din k wqt apny kaam kaaj k liye ghar sy bahir ja sakti hai Qk yh bhi aik aihem zarorat hai. uolama na farmaya hai k edat wali orat k liye zarorat ki wajah sy ghar sy bahir nikalna jaiz hai aur rozi kamany k liye kam kerna aik aihem zarorat hai aur agar issy rozi kamany k liye raat k wqt duty per jany ki zarorat hu to yh bhi jaiz hai ta k issy mulazmat sy berkhast na ker dia jaye aur mulazmat sy berkhast huny ki sorat mai jo nuqsanat hain, woh makhvi nahi hain lekin shart yh hai k waqai kaam kerny k liye muhtaj aur zarorat mand hu. ulama ny aisy bohat sy asbab biyaan farmai hain jis ki wajah sy eddat wali orat k liye apny ghar sy bahir nkalna jaiz hai aur in mai sy baaz asbab majbori ki wajah sy kaam per jany ki nisbet bohat kam ter hain aur is silsaley mai asal yh irshad bari TA'ala hai:
"Soo jahan tak hu saky Allah sy daro."
Aur Nabi Akrem (S.A.W) ny farmaya:
"Jab mai tumhain kisi cheez ka hukam doun to jahan tak hu saky isko baja lau." (shiekh ebn baaz)
Sahi albukhari' hadis: 7288' wa sahi muslim' hadis: 1337.
No comments:
Post a Comment