DORAN WAZO AURAT SAR KA MASAH KAISY KARY

DORAN WAZO AURAT SAR KA MASAH KAISY KARY?

Question :
Doran wazo aurat k sar ka masah kerny ki kefiyat kia hai? kia aurat kisi majbori k tehat sar k aik hissey ka masah ker sakti hai?
Answer :
Wazo mai sar k masah ka hukam aurat k liye bhi wohi hai jo mard k liye hai. 2
2 Qk irshad Bari TA'ala hai:"Aur tum apny saro ka masah karo." [Al Maidah5:6]
Imam saeed bin Almasaib Rehmat ul Allah farmaty hain:
is hukam mai mardod khawateen braber hain.aurat bhi apny sary sar ka masah karegi.Imam Malik Rehmat ul Allah sy jab yh masla pocha gaya k kia aurat ko sar k aik hissey ka masah kafi hoga?to unhuny ny Hazrat Abdul Allah bin zaid R.A. ki hadis batour daleel paish ki jis mai hai k Hazrat Abdul Allah bin zaid R.A.
ny wazo ka tarika amlan wazo ker k biyaan kia:

"Phir inhuny apny donu hathon sy apny sar ka masah kia, donu hathon ko sar k aagy aur pichy ly gaye.paishani sy shoro kia yahan tak k inhain guddi tak ly gaye, phir usi jagah tak wapis laye jahan sy shuro kia tha......"
[sahi albukhari'hadis:185'wa sahi muslim'hadis:(18)-235.]
MAsah kano samait sar k akhri hissey tak kerna zarori hai.lekin yh wazay rahy k mozay sar k elawah aurat k latky huway baalon,yani chotiyon ka masah kerna zarori nahi hai. ahadis sahiha mai NAbi (S.A.W) sy sabit hai k App (S.A.W) sar k aglay hissey sy ly ker is k akhir (guddi) tak ka masah farmaty thy.jaisa k Hazrat Abdul Allah bin zaid R.A. ki hadis mai mazkoor hai. asal yh hai k sharai aihkam mai mard-o-zan brabar hain. siwaye in aihkam k jihain kisi sharai daleel ki roo sy ekhtasaas hasil hujaye. (shiekh ebn baaz)

No comments:

Post a Comment