GAIR MADKHOLA BIVI KI MERAS

GAIR MADKHOLA BIVI KI MERAS

Question :
Aik shakhs ny aik do sheeza sy shadi ki, uqad nikkah to hugaya lekin yh shakhs jinsi ta'aluqat qaeem kerny sy pehly hi fout huga, is ny terka to chora hai lekin is bivi k siwa aur koi olaad ya qareebi rishtydar ya koi waris nahi to kia yh bivi iski waris hai?
Answer :
Haan iski yh bivi jis sy is ny jinsi milaap nahi kia is ki waris hai aur yh hasb-e-zail irshad bari Ta'ala k amom sy sabit hai:

"Aur jo maal tum (mard) chor maro, agar tumhari olaad na hu to tumhari orton ka is mai chota hissa hai aur agar olaad hu to in ka athwaan hissa hai (yh hissay) tumhari wasiyet (ki takmeel) k baaad jo tum ny ki hu aur (adaye) qarz k baad (taqseem kiye jayen gey.)"
Al nissa 4:12.
Mahez uqad sahi hi sy bivi, bivi ban jati hai, lehaza jab uqad sahi hu aur khawand fout hujaye to woh is ki waris hogi aur is k liye eddat bhi lazim hogi, khuwah is k shoher ny is sy milaap na bhi kiya hu. is ko maher bhi mukammal milega aur terka mai sy is k hissay k baad jo bach rahy woh nasb k lehaz sy is shoher k qareeb tareen mard usbah ko milega lekin sorat masola mai chonkey Ashab-ul-Faroz ya usbah mai sy aur koi majood nahi hai, lehaza is orat k hissy k baad jo maal baki bach jayega woh bait-ul-maal mai jama'a kara dia jayega Qk jis maal ka koi muaeeyan malik na hu ussy bait ul maal mai jama'a kara dia jata hai. ( shiekh ebn esimeen)

No comments:

Post a Comment