AIK ORAT HAJJ SY PEHLY FOUT HUGAE hai

AIK ORAT HAJJ SY PEHLY FOUT HUGAE

Question :
Aik orat apny shoher, walid aur bahen bhaiyon ko chor ker fout huwi hai, iski aik bachi bhi thi magar woh apni waldah sy pehly hi fout hugae thi, is orat ny thori si naqdi chori hai, is k virsaa aik baat to yh maloom kerna chahty hain k meeras mai inka hissa kia hoga aur dosri bat yh maloom kerna chahty hain k mazkorah orat ny fareeza hajj ada nahi kia tha, is liye baaz virsa is baat ko terjeh daity hain k is k terqay ki taqseem sy pehly is terkay sy is ki tarf sy hajj kerwa dia jaye aur baaz virsa ny uolama k fatway aur hukam shariyat k sath apni raza mandi ko moqouf kia hai to is silsaly mai humain aap k jawab ka intezar hai.
Answer :
Agar amar waqey issi tarhan hai jis tarha ziker kia gaya hai to is ki taraf sy hajj-o-umrah kerny waly ko is k terkay sy hajj-o-umrey ka khercha dia jaye jab k woh apni zindagi mai hajj per qadir thi aur agar woh faqeer thi to phir is per hajj-o-umrah farz nahi hai, hajj-o-umrey k akhrajat sy jo raqam bach jaye is sy iska qarz ada kia jaye bashart yh k woh maqrooz hu, phir wasiyat per amal kia jaye agar is ny koi wasiyet ki hu, is k baad jo baki bach rahy woh variso mai is tarha taqseem hoga k sorat masla do sy bany gi, is ka nisf is k shoher ko milyga aur baki baapko, baap ki wjah sy bhai saqit hujayengey aur inhain kuch nahi milyga, jo bachi apni maa ki wafat sy pehly fout hugae hai, issy bhi kuch nahi milyga Qk taqseem meeras ki sharton mai sy aik shart yh bhi hai k mouris ki mout k wqt waris zindah hu aur yahan yh shart mafqod hai. Wa Billah At'toufeeq. (Fatwa CAmmettie)

No comments:

Post a Comment