HUKAM-O-AIKAM AQEQA

HUKAM-O-AIKAM AQEQA

Question :
Bachy aur bachi ki tarf sy batour aqeqa janwar zeebah kerny k bary mai kia hukam hai? kia bachy ki tarf sy do bakrey zeebah kerna wajib hai? agar bachy ki paidaish ko taweel arsa hugaya aur aik janwar zeebah ker dia jaye to is k bary mai kia hukam hai? agar dada potey ki tarf sy aqeqa ker dy to is ka kia hukam hai? kia woh janwar khareedny mai madad ker sakta hai? dawat aqeqa k bary mai kia hukam hai? is dawat mai kin amoor ko malkhut rakhna wajib hai?
Answer :
Aqeqay sy murad woh janwar hai jissy paidaish per zeebah kia jata hai, yh sunnat moqadah hai. baaz ulama k nazdeek yh wajib hai Qk Nabi (S.A.W) ny farmaya hai:

"her bacha apny aqeqay k sath girvi hai, satway din iski tarf sy zeebah kia jaye aur bachy ka naam rakha jaye."
sanan abi daud' hadis: 2837,2838' wa jamia at'tramzi' hadis: 1522' wa sanan ebn majah' hadis: 3165' wa masnad ahmed: 5/7 wallafz laahu.
lekin is hadis sy bhi is ki takeed hi maloom hoti hai aur asal baat yh hai k yh wajib nahi hai. sunnat yh hai k bachy ki tarf sy do bakriya, bakrey ya do chatrey, bharen zeebah ki jayen aur bachi ki tarf sy aik zeebah ki jaye. aik bachy ki tarf sy bhi agar aik janwar aur dosrey haftey k bad dosra janwar zeebah kia jaye lekin yh khilaf aolaw hai. asal bat yh hai k walid per wajib hai k woh is Allah TA'ala ka shuker ada kery jis ny issy olaad jaisi naimet sy nawaza hai. agar bachy ka dada ya bhai ya koi aur aqeqa ker dy to yh bhi jaiz hai ya in mai sy koi agar janwar kharedny mai ta'awun ker dey to yh bhi jaiz hai. sunnat yh hai k aqeqay k gosht ka aik sulus khud kha ley, aik sulus a'azah-o-aqarib ko hadiya ker dia jaye aur aik sulus musalmano mai sadqa ker dia jaye. yh bhi jaiz hai k dawat aqeqa per a'azah-o-aqarib ko mado'u kia jaye ya aqeqay k tamam gosht ko sadqa ker dia jaye. (shiekh ebn jabreen)

No comments:

Post a Comment