MAYOSI KI UMER MAI DOODH PILANY SY RAZA'AT SABIT HUJATI HAI

MAYOSI KI UMER MAI DOODH PILANY SY RAZA'AT SABIT HUJATI HAI

Question :
Is orat k doodh ka kia hukam hai jo na umedi (burhapey) ki umer ko pohanch jaye lekin kisi (rowty) bachy ko dekh ker iski chati mai doodh uter aye aur woh mudat raza'at mai aik bachy ko panch ya is sy zaid mertaba doodh pila dey? naiz kia yh doodh hurmat ka baees banyga? aur kia is ka razai baap bhi hoga, jab k doodh pilany wali orat ka us wqt koi khawand hi nahi?
Answer :
Yaqinan raza'at bhi nasb ki tarha haram kerny wali hai, is bina per mudat raza'at (do saal) k doran mai jis orat ny bachy ko panch ya is sy zaeed mertaba doodh pilaya woh is bachy ki razai maa ban gaye, is liye k yh ayaat aam hai:

"aur tumhari woh maian jinhuny tumhain doodh pilaya (tum per haram hain.)"
Al nissa 4:23.
Agar mayosi ki umer ko pohanchny k baad bhi koi orat kisi bachy ko doodh pilaye to bhi raza'at sabit hujayegi, phir agar doodh pilany wali orat khawand wali hai to sheerkhuwar bacha iska aur is k khawand ka razai beta hoga. agar woh orat bekhawand hai, yani abhi iski shadi hi nahi howi lekin is ki shati mai doodh uter aye (aur woh doodh pila dey) to woh us bachy ki maa ban jayegi jissy is ny doodh pilaya hoga lekin is ka razai baap nahi hoga. yh baat ta'ajub wali nahi hai k bachy ki razai maa to hu magar iska razai baap na hu, baina yh bat bhi ta'ajub wali nahi hai k is ka razai baap to hu magar razai maa na hu.
pehli sorat kuch you hai k aik orat ny kisi bachy ko 2 dafa'a doodh pilaya yh doodh is k (pehly) khawand k sabab tha, phir woh khawand is sy alag hugaya aur orat ny eddat guzarny k bad dosry khawand sy shadi kerli, is sy jama'a huwa aur woh hamla hugae is ny aik bachy ko janam dia tab is ny is sy pehly razai bachy ko baki mandah 3 raza'at doodh pilaya to is tarha woh iski razai maa ban jayegi. Qk is ny is orat sy 5 mertaba doodh pi lia hai magar is bachy ka koi razai baap nahi hoga QK is orat ny bachy ko aik khawand sy 5 ya is sy zaid mertaba doodh nahi pilaya.
jahan tak dosri sorat ka ta'aluq hai k aik bachy ka razai baap to hu magar razai maa na hu to woh youn hai k aik shakhs ki 2 biviyan hain. in mai sy aik ny bachy ko 2 mertaba doodh pilaya aur dosri ny mazeed 3 dafa'a doodh pila ker panch raza'at mukammal liye to is sorat mai yh bacha in k khawand ka razai beta hoga Qk issy aik bap ki tarf mansob doodh panch mertaba pilaya gaya hai jab k es ki razai maa nahi hogi Qk is ny pehli orat sy 2 mertab aur dosri orat sy 3 mertaba doodh piya.
Shaikh Mohammad bin Saleh Al Usaimin

No comments:

Post a Comment