KHAWAND KO BATAYE BAGAIR ISKA MAAL
Question :
mera khawand roz marrah ki zaroriyat k liye mujhy aur meri olaad ko kherch nahi daita, hum kabhi kabhar issy bataye bagair is k maal mai sy kuch ley laity hain. kia is tarhan hum gunaahgar thery gey?
Answer :
agar khawand bivi ko jaiz zaroriyat ki takmeel k liye bhi kherch muhaiya nahi kerta to is sorat mai bivi k liye khawand ko bataye bagair apni aur apny bachu ki zaroriyat k liye, fazol kherchi aur israf sy kinara kash rehty huway is k maal mai sy baqadar hajat laina jaiz hai. Hazrat Ayesha R.A. sy ravayat hai k hind bint utba R.A. kehny lagi:
"Aye Allah k Rasool! Abu sufyan bara kanjos shakhs hai. mujhy aur mery bachu ko itna nafqa nahi daita jo humain kafi ho".......... is per Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"is k maal mai sy itna ley lu jo tumhain aur tumhary bachu ko kafi ho."
sahi albukhari' hadis:2211' wa sahi muslim' hadis: 1714.
Shaikh ibn Baz
No comments:
Post a Comment