MERA KHAWAND MUJHY LA'AN TA'AN AUR SAB-O-VISHTEM KERTA HAI

MERA KHAWAND MUJHY LA'AN TA'AN AUR SAB-O-VISHTEM KERTA HAI

Question :
Jab khawand k sath muderja zail asbab ki bina per zindagi baser kerna mahal hujaye to mutalba talaq k bary mai sharai hukam kia hai? mera khawand jahil hai aur mery haqoq sy agaah nahi, woh mujhy aur mery waldain ko la'an ta'an kerta hai, woh mujhy yahodi, esai aur rafzi tak keh jata hai lekin mai bachu ki khatir is k mazmom ikhlaq per sabar kerti rehti rahi magar jab sy mujhy jorou k dard ki shikayat huwi hai to mai be bas hugae hoon aur mery hath sy sabar ka daman chot gaya hai. mujhy is sy itni shaded nafrat hugae hai k is sy baat kerna bhi gawara nahi raha. mai ny is halaat mai talaq ka mutalba kia to is ny rad ker dia. mai guzshta 6 saal sy apny bachu k sath is k ghar mai aik mutalka ya ajnabi ki tarhan guzar basar ker rahi hoon. woh mera itlaq ka mutalba rad kerta aa raha hai. barah-e-karam jawab ba suwab sy nawazain.
Answer :
Agar khawand ka raviya aisa hi hai k jaisa app ny bataya hai to aisy halaat mai is sy talaq talab kerny mai koi harj nahi. is tarhan is sy jaan chorany k liye kuch maal dey ker bhi khula'a kerny mai koi harj nahi ta k ap iski bad kalamiyo, ziadatiyo aur sou muashret sy gulo khulasi palen. agar ap apny bachu ki khatir aur apny aur in k akhrajat ki khatir issy bardasht ker saken aur sath hi sath achy andaz sy issy samjhati rahen aur is k liye hadayat ki dua kerti rahen to hum app k liye ajr-o-sawab aur achy anjam ki umeed kerty hain. hum bhi iski hadayat aur esteqamat k liye Allah RAb-ul-Ezzat sy dua kerty hain. yh sab kuch is sorat mai hai k agar woh namaz parhta hu ayr ehanat deen ka murtakib na hota hu aur agar woh tarik namaz hai ya deen ki ehanat ka murtakib hota hai to woh kafir hai aur app ka is sath rehna ya issy apny uper qudrat-o-ikhteyar daina jaiz nahi hai Qk oulama ka ejma'a hai k deen islam ko galiyan daina aur iska estahza kerna kufar, gumrahi aur irtadada'an alislam hai, Allah TA'ala ka irshad hai:

"App farma dijeye! acha tum estahza ker rahy thay, Allah, iski ayato aur is k Rasool k sath? ab bahany na banao tum izhar emaan k baad kafir hu chuky hu."
At'touba 9:65,66.
Issi tarhan Ahl-e-ilm k sahi qual ki ro sy tark namaz kufar akber hai, agarcha aisa shakhs namaz k wajoob ka inkar na bhi kery Qk RAsool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"Admi aur shirk-o-kufar k dermiyan milany wali cheez namaz ka chorna hai."
sahi muslim'hadis: (134)-82' wa jamia at'tramzi' hadis: 2619.
aur dosri hadis mai hai k Allah k Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"hamary aur in (munafiqeen) k mabain namaz hi to muahidah hai, jis ny namaz ko chora us ny yaqinan kufar kia."
jamai at'tramzi' hadis: 2621' wa sanan ebn majah' hadis: 1079' wa masnad ahmed:5/346.
Elawah azee kitab-o-sunnat k bohat sary dalaeel is mozo per majood hain.
Shaikh ibn Baz

No comments:

Post a Comment