KIA ITNA PERDAH KAFI HAI

KIA ITNA PERDAH KAFI HAI?

Question :
mai ny aik khatoon sy shadi ker rakhi hai, woh Al Hamdulilah perdy ki paband hai lekin jis tarha hamary mulk mai aik adat si ban gae hai, meri bivi apny behnoi sy perdah nahi kerti, is ki bivi (meri saali) bhi mujh sy perdah nahi kerti. issi tarha meri bivi mery bhai, apny khala zaad, phophi zaad bhaiyon sy bhi perdah nahi kerti. kia yh sab kuch shara'a ki khilaf warzi hai? in halaat mai mujhy kia kerna chaheye? jab k hamary mulk mai mazkorah bala logo sy perdah kerny ki adat nahi hai. jab k hamary ghar mai bhi aisa hi hota hai, mai bivi ko perdah kerny ki talqeen kerta hoon to woh log mujhy apni bivi per adam aitmad aur shak kerny ka ilzaam daity hain.
Answer :
Mazkorah tamam log gair mehram hain, lehaza in k samny chehrah aur deegar jasmani muhasan ka kholna najaiz hai Allah ny izhar zeenat ki ejazat sirf mehram rishty daaro hi k samny di hai. hukam Bari Ta'ala hai:

"Aur na zahir karen woh (ortain) apni zeenat ko magar apny khawando ya apny baapo ya apny khawando k baapo k samny......."
Al noor 24:31.
App pehly issy is baat per mutmain karen k gair mehram logo k samny behijab hona haram hai aur issy is baat ka paband banaye. agarcha yh tumhary haan merwajja adaat k khilaaf hi Q na hu aur woh app per tarha tarha k ilzamaat bhi aeed karen. issi tarha app apny bhai, bivi k behnoi, is k am zaad aur mamo zaad rishty daron k samny is haqeqat ka izhar karen k woh sab is orat k liye ajnabi hain. agar bilfarz app apni bivi ko talaq dey dain to woh in logo k liye halal hogi aur yahi in k gair mehram huny ki daleel hai.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment