KYA MAI APNY SHOHER SY ALAG GHAR KA MUTALBA KER SAKTI HOON?

KIA MAI APNY SHOHER SY ALAG GHAR KA MUTALBA KER SAKTI HOON?

Question :
Mery khawand ka bhai shadi ker k hamary sath hamary ghar mai rehna chahta hai, jab k issy maloom hai k mai is k samny chehra nanga nahi kerti, na is k pass bethti hoon aur na kabhi issy dekhti hoon, phir is ny shadi ker li. kia is pas-e-manzar mai tangi halaat ki bina per mera apny khawand alag ghar ka mutalba kerna 2 bhaiyon k dermiyan tafarqa dalny sy ta'abeer to nahi kia jayega? kia aisa mutalba kerna haram hai? is amar ki wazahet zarori hai k mera khawand to yh samjhta hai k donu bhaiyon ka alag alag rehna behter hai, jab k meri saas jo k hamary sath hi rehti hai hamary aik jagah rehny ko pasand kerti hai.
Answer :
In halaat mai agar mukammal perdy aur adam khalwet ka mahool muyassir rahy to saas ki khoshi k liye aik jagah rehna behter hai aur agar aisa mumkin na ho to alag alag rehna behter hai. agar aik bhai ki bivi susti ka muzahirah kerty huway khawand k bhai k sath behijab rehti hai ya woh is k sath ghar mai khalwet apnata hai ya aik bhai dosry ki bivi k muta'aliq gair etmenan bakhsh raviyya apnata hai, is k peechy jata hai, is ki gaflat sy najaiz faidah uthaty huway bagair ejazat is k pass chala jata hai ya kapron k neechy tak dekhny ki koshish kerta hai to aisy halaat mai hum yh samjhty hain k app tangi aur mushaqqat sy bachny k liye khawand sy alag ghar ka mutalba ker sakti hain.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment