MAIN SURAJ GARHEN SY DARTI RAHAIN


MAIN SURAJ GARHEN SY DARTI rahain
Question :
Meri preshani yh hai k main aasman ki taraf dekhny sy darti hoon. khas tour per raat k wqt aur matla aber aalod huny ki sorat mein to ziadah hi khouf mehsos kerti hoon. issi tarhan mujhy suraj garhen aur chand garhen sy khouf aata hai. Barah-e-karam koi aisi dua batain k jis k parhny sy Allah k hukam sy mera yh khouf jata rahy ya koi aisa tareeka batain k is per amal paira hu ker is khouf sy najat hasil ker sakoon.
Answer :
Mujhy to is dar ka koi sabab maloom nahi hota. zameen-o-asman, chand-o-suraj wagaira yh sab cheezain Allah ki makhloq hain, jihain Allah Ta'ala ny apny bando ki khidmat k liye waqaf fatma rakha hai aur inhain ba nazar-e-ebrat dekhny ka hukam dia hai.
Rasool Allah (S.A.W) ka irshad garami hai:
"Beshak suraj aur chand, Allah Ta'ala ki nishaniyo mein sy 2 nishaniyan hain (jin k garhen sy woh apny bando ki darata hai) suraj ya chand ko kisi (Azeem) shakhs ki mout ya hayat sy garhen nahi lagta, lehaza jab tum garhen laga dekhu to Allah Ta'ala ka ziker karo, takbeerat parhu, namaz ada karo aur sadqa karo."
[sahi albukhari' hadis:1044' wa sahi muslim' hadis:901.]
Meri bahen! app bakasret asma-o-sifaat bari Ta'ala ka ziker karen, kalaam pak ki tilawat karen, Ayaat-e-Qudrat aur khaliq-e-Arz-o-sama ki sanai k ejabat k bary mein tafaker aur tedbir karen aur Baargaah-e-elahi mein khashou-o-khazou k sath dua karen aur is sy mushkilat ka hal chahen. umeed hai is tarha apka yh khouf jata rahyga aur In Sha Allah etmainan-o-sakoon muyassir ayega. (shiekh ebn jabreen)

No comments:

Post a Comment