NAKHUWANDAAH AUR KHUWANDAH OLAAD

NAKHUWANDAAH AUR KHUWANDAH OLAAD

Question :
Walid ki vafaat k bad ab waldah hamary sath ghar mai muqeem hain. meri waldah na khuwandah hain jab inhain azkar ya chori soratain yaad karaieen to woh inhain sahi tour per yaad nahi ker sakteen ya inhain samjh nahi sakteen. lekin is k bawajood woh farz aur nafil namaz ki paband hain, lehaza sawal yh hai k in k sath mamla kerny ka sab sy kamiyab tareeka kia hai k in k sath naiki ker k Allah Ta'ala ki raza mandi aur khush navi hasil ki ja saky, rehnumai farmain. Allah TA'ala apko ajar-o-sawaab sy nawazey?
Answer :
App per wajib hai k apni waldah k sath sharan aur arfan naiki karen. sharan naiki kerny mai yh baat dakhil hai k app inhain woh quali-o-faili ebadaat sikha den jinhain Allah Ta'ala ny in per wajib qarar dia hai lekin nahayat narmi k sath sikhain. in sy agar kuch kotahi bhi hu to derguzar karen Qk basa oqaat mamoli kotahi sy koi farq nahi parta. maa kisi wajah sy naraz hujaye ya dant dapat kery to issy berdasht karen aur yh mutalba na karen k woh thory wqr mai derja kamaal tak pohanch jaye Qk jo kamaal tak pohanchny ka iradah rakhy to issy sabar k sath intezar kerna parta hai aur phir is k liye kafi wqt derkar hota hai Tab kahiin ja ker Allah TA'ala k hukam sy issy kamaal hasil hota hai. (shiekh ebn esimeen)

No comments:

Post a Comment