MALBOSATI JARAID KA KHAREEDNA AUR INHAIN SANMBHAL KER RAKHNA
Question :
Kia khawateen k malbosat k jadeed tareen aur rangarang designo sy estadaah kerny ki garz sy malbosati rasail-o-jaraid khareedna najaiz hain? maloom rahy k aisy jaraid orton ki tasawer sy bhary huty hain to kia inhain estafadah ker lainy k baad sanmbhal ker rakhna jaiz hai?
Answer :
Is mai koi shak nahi k mehfil tasaweer per mushtamil rasail-o-jaraid ka khareedna haram hai, is liye k tasaweer ko sanmbhal ker rakna Rasool Allah (S.A.W) k irshad grami k paish-e-nazar haram hai:
"Jis ghar mai tasaweer hu us ghar mai farishty dakhil nahi hoty."
sahi albukhari' hadis: 3226' wa sahi muslim' hadis: (66)-2106.
Tanbeeh: Shiekh ebn baaz R.A sy yadgari tasaweer ki babut pocha gaya to unhuny yh jawab dia: "kisi bhi musalman orat k liye kisi bhi zee rooh ki yadgari tasweer sanmbhal ker rakhna jaiz nahi balky in ka zaya ker daina zarori hai. NAbi (S.A.W) ny HAzrat Ali R.A. sy farmaya tha: "her taswer ko mita dey aur her onchi qabar ko braber ker dey." [sahi muslim' hadis: 969' wa sanan abi daud' hadis: 3218.] Mazeed farmaty hain: jahan tak gair jandar ashiya, maslan: pahaar ya darakht wagaira ki tasaweer la ta'aluq hai to in mai koi harj nahi."
App (S.A.W) ny jab HAzrat Ayesha R.A. k takiaye per tasweer dekhi to woheen khary hugaye aur ander tashreef na laye.app k chehra anwer per krahat aur gussay k asaar numaya thy.
sahi albukhari' hadis: 3224' wa sahi muslim' hadis: 2107.
Mukhtalif malbosat paish kerny waly rasail-o-jaraid k bary mai gour kerna hoga, is liye k her tarha ka libaas jaiz nahi husakta, kuch malbosat to be perdagi ka baees banty hain jab k baaz tang aur mukhtasil huny ki bina per kuffar k makhsos libaas ka hissa hoty hain aur kuffar sy mushbehat haram hai. RAsool Allah (S.A.W) ka irshad hai:
"jo shakhs kisi quam sy mushabehat apnaye ga to woh unhi mai sy hai."
sanan abi daud' hadis: 4031' wa masnad ahmed:2/50.
Meri musalman bhaiyon ko aam tour per aur musalman khawateen ko khas tour per nasihet hai k woh aisy libaas sy perhaiz karen jo kuffar sy mushabihat rakhta aur beperdagi sy ebarat hu.
Dosri baat yh hai k khawateen ka her jadeed fashion waly libaas mai dilchaspi laina aam tour per es amar ka baees banta hai k hamary deen hanif ki adaat-o-atwar, jin sy hamara deen murakkab hai, gair muslimo sy makhoz adaat-o-atwar mai badal jati hain jo k gair mustehsan baat hai.
Shaikh ibn Saleh Usaimin
No comments:
Post a Comment