SHARAI HIJAB

SHARAI HIJAB

Question :
Sharai hijab ka matlab kia hai?
Answer :
Sharai hijab ka matlab hai k orat apny tamam wajib-ul-satar aazaye badan ko dhanmp ker rakhy, in aaza mai sb sy muqadam aur aoula chehray ka perdah hai, is liye k chehrah fitny aur ragbat ka mahel hai, lehaza orton per ajanabi logo sy chehray ka perdah kerna wajib hai.
Jahan tak yh kehna hai k sharai hijab sirf sar, gardan, seena, paon, pindali aur bazo ko dhanmpna hai jab k chehra aur hath is sy mustashna hain to yh aik ajb-o-gareeb qual hai, is liye k yh baat to maloom hi hai k jaye ragbat aur mahel fitna chehra hai. to yh kehna kaisy mumkin hai k shariyat islamia orat ko paon dhanmpny ka to hukam dey aur aur chehrah khula rakhny ki ejazat dey day. pur azmat hikmat shariyat mutehraah mai aisy tanaquz ka hona gair mumkin hai. her insan janta hai k paon sy kahiin barh ker chehray mai fitna hai aur mardo k liye orton mai mahel ragbat bhi sirf chehrah hi hai. agar koi shakhs kisi mangaiter sy kahy k app ki huny wali bivi k paon to khubsorat hain magar chehrah bad sorat hai to woh kabhi bhi aisy orat sy shadi per amadah na hoga. is k ber aks agar kaha jaye k is ka chahrah to khubsorat hai lekin is k hath ya bazo ya paon ya pindliyan itni khubsorat nahi hain to zaror aisi larki sy shadi kerny per amadah hujayega. is sy maloom huwa k chehry ka perdah badtareek aowla wajib hai. kitab-o-sunnat , aqwal-e-sahaba R.A. , Aqwal-e-aima-e-islam aur oulamaye islam k farameen mai aisy dalail majood hain jin ki ro sy gair mardon k samny orat per tamam jism aur chehray ka perdah wajib therta hai.
Umm-ul-momineen Ayesha R.A. farmati hain : hajj k ayaam mai qafley hamary pass sy guzarty thy jab k RAsool Allah (S.A.W) k sath halat ehram mai theen, jab woh guzar jaty to hum apny chehro sy chadaren oper ker laiteen." [sanan abi daud' hadis:1833' wa sanan ebn majah' hadis:2935.] [tafseel k liye dekhiye: "Arbi" ' Suaad: 104-114 aur "orat ka zaiwer: perdah/ qari suhaib ahmed meer mohammadi]
Shaikh ibn Usaimin

No comments:

Post a Comment