MERI WALDAH MUJH SY NARAZ HI FOT HUGAE
Question :
(Alif) Taqreeban 6 saal pehly Ramdan-ul-Mubarak mai meri waldah ka inteqaal huwa. mai bachpan mai akser oqaat is sy larti jhagerti aur bahes mubahisa kerti rehti thi to jab woh fot huwi to mujh sy naraz thi. umer mai ezafay k sath aqal-o-shaour mai bhi izafa huwa to ab mai apny is ravaiye per nadim houn aur siwaye nidamat-o-estagfar k aur waldah k liye Allah Ta'ala k hazoor rehmat-o-magfirat ki dua k aur kuch ker bhi nahi sakti. kia yh sab kuch is amar k liye kafi hai k Allah Ta'ala mery guzishta gunaaho ko muaf farma dey aur rozay qayamat mujh per rahem farmaye.
(Bay) Hum waldah ki tafr sy rozay nahi rakh saky kia es k liye hum gunaahgar hain? kia hum ab is ki tarf sy rozay rakh sakty hain? is baat ki wazahet zarori hai k humain is baat ka ilm bhi kuch arsa qabal hi huwa hai.
Answer :
Shayed app waldah ki zindagi mai kam umeri k sath sath kam aqli aur jahalat ka bhi shikar rahi hain. agar yh baat darust hai to app mazoor hain. Aqal-o-shaour aa jany k baad app apny guzishta tarz-e-amal per nadim aur mafi ki khuwastgar hain to In Sha Allah app ka yh raviya guzishta kotahi ka azala ker dyga, is liye k toubah guzishta gunaho ko mita daiti hai. app ka waldah k liye dua-o-estagfar kerna aur is ki tarf sy sadqaat-o-kherat kerna aisy amaal hain k Allah Ta'ala in ki wajah sy app k guzishta gunaaho ko muaf farma deyga. baki rahy woh rozay jo is ny bimari k doran mai chory thy to woh bimari ki wajah sy maazor thi aur bimari ki wajah hi sy woh qaza bhi na dey saki, lehaza app per in ki qaza daina wajib nahi hai.
Hanabla k nazdeek sirf nazar k rozay maiyet ki tarf sy rakhy jaye gey aur ramdan k farzi rozo ko nahi rakha jayega. issi muaqaf ko alama albani Rehmat-ul-Allah ny "Ehkam Aljanaiz" [suaad: 213-216] aur "Tamam Alminaah" [Suaad: 427,428.] mai aur Imam ebn alqeem Rehmat ul Allah ny "Ai'ilaam-ul-moqe'en" [3/554] aur "Tahzeeb-us-sanan" [3/279-282] mai rajeh qarar dia hai. jab k shwafey k nazdeek nazar k rozo k sath ramdan k farzi rozo ko bhi rakha jayega. is muaqqaf ko Imam Ebn Teemia Rehmat ul Allah ny "Al Ekhtiyarat Alfaqeeha" [SUaad:97] mai ikhtiyar kia hai. hanabla ka muaqqaf rajeh hai. (Saleem Allah Zumaan)
Shaikh ibn Jibreen
No comments:
Post a Comment