NAFSIYATI HALAT, INKAR KA

NAFSIYATI HALAT, INKAR KA JAWAZ
Question :
Agar bivi apny khawand k mutalby per shadid nafsiyati halat ya kisi takleef dah bimari k wqt is k qareeb aany sy inkar ker dey to kia is sorat mai bivi gunaah gar hogi?
Answer :
Agar khawand bivi ko apny bister per bulaye to bivi per iski takmeel zarori hai. lekin agar woh kisi nafsiyati ya jismani bimari ki wajah sy is mutalby ki takmeel kerny mai qasir hai to is halat mai khawand k liye aisa mutalba kerna jaiz nahi hai. kyun k Nabi (S.A.W) ka irshad hai:

"Ebtada takleef daina aur kisi ko muqablatan takleef pohanchana jaiz nahi hai."
sanan ebn majah'hadis: 2340.
lehaza issy tawaquf kerna chaheye ya kisi gair mazer tareeky sy apni bivi sy lutf andozi kerni chaheye.
Lekin agar bivi bila wajah apny shoher ki khuwaish ko pura nahi kerti aur iski farman berdari nahi kerti to yh bohat bara gunaah hai. Nabi Akrem (S.A.W) farmaty haim:
"jab khawand apni bivi ko apny bister per bulaye aur bivi is k pass na aye, phir khawand ny is per narazgi ki halat mai raat guzari to farishty us orat per subha hony tak la'anatain bhejty hain."
dosri ravayat mai hai:
"woh orat jab tak khawand k pass aa nahi jati us wqt tak farishty us per la'anat kerty hain."
jab k teesri ravayat mai hai k
"Allah Ta'ala bhi aisi orat sy sakht naraz hujaty hain."
Sahi muslim' ahadis: (120-122)
jab k sanan ebn majah ki ravayat mai hai k Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"us zaat ki qasam jis k hath mai Mohammad ki jaan hai! orat is wqt tak apny rab ka haq ada nahi ker sakti jab tak apny shoher ka haq ada na kery, orat agar palan per bethi hu aur shoher issy bulaye tab bhi woh issy inkar na kery."
Sunan ebn majah' hadis: 1853.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

No comments:

Post a Comment