NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

NAIK LARKI K LIYE WALDAH KI GAIR MAQBOOL DUA

Question :
Mai akser nafli rozay rakhti hoon ta k Allah Ta'ala meri in lagzisho aur ko kotahiyon ko muaf farmai jo k mery ilm k bagair sar zad hoti rehti hain, mai Al Hamdullilah apny deen per kaar band houn lekin meri waldah Allah sy yh dua kerti hai k woh mery rozay qabool na farmai. mujhy nahi maloom k is ki kia wajah hai, halaank mera roza gharelu kaam kaaj per asar andaz bhi nahi hota, phir woh meri muhtaj bhi nahi. mai is baat sy bary qalaq aur eztrab mai mubtala hoon k maa ki baddua ki wajah sy Allah Ta'ala mery naik amaal aur rozo ko qaboliyat sy nahi nawazyga Qk waldain ki duain baargaah-e-Elahi mai qabool hoti hain. is k muta'aliq apka kia khayal hai?
Answer :
Ebadaat aur nafli rozo k ehtamam ki wajah sy app qabil ta'areef hain. App maqdor bhar inki pabandi karen aur waldaah k samny yh uzar paish karen k yh aik naik amal hai aur bilashubah waldaah ka haq bhi is naik amal k sath sath ba hussan tareek ada hu raha hai Qk nafli rozay is k sath hussan salook, is ki khidmat aur is k haqoq ki adaigi sy many nahi hain.
Waldaah ko to aisy naik amoor ki anjam dahi k liye aap ko tergeeb dilani chaheye thi aur issy chaheye tha k woh app ki iqtada kertee Q k bulandi derjaat aur gunaho ki maafi k liye issy nafli namaz rozay ki aap sy kaheen ziada zarorat hai.
Jahan tak is ki bad dua ka ta'aluq hai to In Sha Allah woh qabool nahi hogi. khas tour per is liye k app ka yh amal sarasar naik hai. galiban woh shfqat madri aur jazba terham k tahet aisa kerti hogi.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment