MUSALMAN KHAWATEEN AUR HUKMARANO KI ADAM ETAT

MUSALMAN KHAWATEEN AUR HUKMARANO KI ADAM ETAT

Question :
Mery islami mulk mai hukkam bala ki tarf sy jari kerdah aik hukam namy k zariye sy nojawan larkiyo samait tamam orton ko perdah kerny aur khas tour per sar dhanmpany sy rok dia gaya hai. kia mery liye is hukam namy ki ta'ameel jaiz hai? agaah rahen k is hukam ki ta'ameel na kerny waly ko kai tarha ki sazaon ka samna kerna perta hai, MAslan: mulazmat sy berkhastgi, madersy sy akhraj ya qaid-o-band ki saza wagaira.
Answer :
app k mulk per warid huny wali yh musibet in musibaton mai sy aik hai k jis sy bandy ka emtehan maqsood hota hai: Irshad bari ta'ala hai:

"Alif LAam Meem, kia logo ny yh khayal kia hai k mahez yh kehny sy k hum emaan ley aye, chot jayen gay aur woh azmai na jayen gey. aur hum to inhain azma chuky hain jo in sy pehly guzray hain so Allah in logo ko zaror maloom ker k rahy ga jo sachy thy aur jhoto ko bhi maloom ker k rahyga."
AL ankabot 29:1-3.
Jo kuch meri samjh mai aaraha hai woh yh hai k es mulk ki khawateen per aisy ehkaam k bary mai hukmarano ki etat sy inkaar kerna wajib hai Qk gair sharai ehkam mai hukmarano ki etat mardod hoti hai. Irshad Bari Ta'ala hai:

"Aye emaan walo! etat karo tum Allah ki aur etat karo tum Rasool (S.A.W) ki aur apny mai sy awal-ul-amar ki."
Al nissa 4:59.
Agar app bagour ayaat ka mutala karen to maloom hoga k Allah Ta'ala ny Awal-ul-amar k sath Aateeo fail amar ka teesri mertaba ziker nahi farmaya aur yh is amar ki daleel hai k hukmarano ki etat Allah aur Rasool Allah (S.A.W) ki etat k tabey hai. Agar in ka hukam Allah aur Rasool (S.A.W) k hukam k mukhalif ho tu is sorat mai in ki baat sunnay aur amal kerny k laiq hergiz nahi hai, is liye k:

"Khaliq ki nafermani mai makhloq ki etat nahi."
Masnad Ahmed: 5/66' wa sahi albukhari' hadis: 7257' wa musannif ebn abi sheebah hadis: 33706.
Is mulk ki khawateen jo is aitbar sy masaib ka shikar hain inhain sabar k bagair koi charah kaar nahi. Allah Ta'ala sy sabar k liye estaqamat ki dua kerni chaheye. hum duago hain k Allah Rab-ul-Ezzat hukmarano ko hadayat naseeb farmai. mera khayal hai k yh pabandi ghar sy jany ki sorat mai hai, ghar ander is ka itlaq nahi hota hoga, lehaza is sy bachny k liye khawateen ko ghar hi per rehna chaheye. baki rahi aisi ta'aleem k jis k hasool mai gunaah milta ho to aisi ta'aleem ka hasool hi jaiz nahi hai. orton k liye itni ta'aleem hi kafi hai jis ki deenvi aur deenvi aur deeni tour per inhain zarorat hu aru jis ka hasool aam tour per gharon mai bhi mumkin hai. khulasa kalaam yh k munkir kamo mai hukmarano ki etat jaiz nahi hai. (Shiekh MOhammad BIn saleh esimeen)

No comments:

Post a Comment