NAZAR KI JUHET TABDEEL KERNY KA HUKAM

NAZAR KI JUHET TABDEEL KERNY KA HUKAM
Question :
Aik shakhs ny makhsos maqasid k liye nazar mani, phir is ny dosry maqasid ko ziadah mufeed samjha to kia is sorat mai nazar ki juhet tabdeel kerna jaiz hai?
Answer :
Mazkora sawal ka jawab dainy sy qabal chend tamheedi baten zarori hain:
Pehli baat to yh hai k insan ko nazar nahi manni chaheye Qk nazar manana makrooh hai ya haram.
Nabi (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai. App (S.A.W) ka irshad hai k:

"nazar kher nahi laati is ki wajah sy sirf bukheel sy kuch nikala jata hai."
sahi albukhari' hadis: 6608' wa sahi muslim' hadis: 1639.
log jis maqsad ko nazar ki wajah sy hasil kerna chahty hain haqeqatan is ka sabab nazar nahi hoti. aksar log aisy hain k bimaar huny per kisi kaam k kerny ki nazar manty hain, kisi gum shudah cheez k milny ki sorat mai kuch aur kerny ki nazar manty hain. ab agar issy shifa hasil hujaye ya gum shudah cheez wapis mil jaye to is ka yh matlab nahi k yh sab kuch nazar ki wajah sy huwa, lehaza app nazar many bagair Allah TA'ala sy shifa aur gum shudah cheez k mil jany ki dua karen, nazar manny ki koi zarorat nahi hoti. amoman youn hota hai k nazar manny walu Hazraat agar in ki murad ber aye to eefaye nazar mai susti-o-kahli ka muzahira kerty hain. jab k aksar oqaat issy chor hi daity hain jo k intehai khaternaak cheez hai. Allah Ta'ala ka irshad hai:

"Aur in mai sy woh bhi hain jinhuny Allah sy aihed kia tha k agar woh apny fazal sy hamain maal ata farma dey to hum khub sadqa karen gey aur naiku karo mai hujayen gey, phir jab Allah TA'ala ny in ko apny fazal sy dey dia to is mai bukheeli aur rogardani kerny lagy is haal mai k woh mou phery huway thy, chanachey Allah Ta'ala ny inko saza yh di k in k dilon mai us roz tak k liye nifaq paida ker dia k jis din woh Allah k pass hazir houngey, is wajah sy k inhuny Allah sy jo wadah kia tha is k khilaaf kia aur is liye k woh jhoot bolty rahy."
At'touba 9:75-77.
Es bina per momin ko nazar manni hi nahi chaheye. abb hum app k sawal k jawab ki tarf aaty hain. jab insan kisi qasam ki nazar maan ley aur phir yh samjhy k is nazar ki elawah koi aur cheez is sy afzal aur aqrab illallah aur logo k liye ziada mufeed hai to is sorat mai juhet tabdeel kerny mai koi harj nahi. is ki daleel yh hai k aik shakhs RAsool Allah (S.A.W) ki khidmat mai hazir hu ker arz kerny laga: "mai ny nazar mani thi k agar Allah Ta'ala ny app k liye makkah fataah ker dia to mai bait-ul-Muqaddas mai namaz ada karonga. is per app (S.A.W) ny bhi wahi jawab dia. is ny phir wohi baat kahi to is per app (S.A.W) ny farmaya: phir jaisy teri marzi hai ker ley.
sanan abi daud' hadis: 3305' was'sanan alkubra lilbehqee:1/ 82' wa masna ahmed:3/363.
is sy maloom juwa k insan adna derjy ki nazar ko agar a'ala (afzal) derjey ki nazar sy badal ley to yh jaiz hai.
Shaikh Mohammad bin Saleh Usaimin

No comments:

Post a Comment