NAZAR KI IQSAAM AUR INKA SHARAI HUKAM

NAZAR KI IQSAAM AUR INKA SHARAI HUKAM

Question :
Nazar ka sharai hukam kia hai? aur kia yh nazar puri na kerny per koi saza bhi hai?
Answer :
Maali nazar ka sharai hukam yh hai k woh makrooh (na pasandeedah) hai. NAbi (S.A.W) ny is sy mana farmaya hai.
App (S.A.W) ny farmaya:

"nazar taqdeer ko zarra bhar bhi pher nahi sakti, iski wajah sy sirf bukheel admi sy kuch nikala jata hai."
sahi albukhari' hadis: 6608' wa sahi muslim' hadis:1639.
Yh is liye k baaz log bimaar huny ya koi nuqsaaan uthany ya kisi bhi tarhan ki koi takleef aany per sadqa kerny, koi janwar zeebah kerny ya maal taqseem kerny ki nazar manty hain, iska aiteqadya hota hai k Allah Ta'ala nazar many bagair na to inhain shifa deyfa aur na nuqsaan pura keryga. to is bina per Nabi (S.A.W) ny farmaya hai k Allah TA'ala nazar man'ny sy apni qaza-o-qadar ko tabdeel nahi kerta, haan woh bandah bukheel hai, nazar many bagair kuch na kery.
Agar kisi ebadat ki nazar mani, MAslan: nafil namaz parhny, rozaey rakhny, sadqa kerny ya aitekaaf bethny ki nazar mani to isko pura kerna wajb hai. lekin agar is ny qatal, zina, sharab noshi ya chori daketi wagaira ki nazar mani jo ma'asiyet sy ebarat hu to issy pura kerna najaiz hai. es per kufara qasam daian, yani 10 masakeen ko khana khilana (ya inhain libaas daina ya aik gulam azaad kerna, agar in cheezon ki estetat na hu to phir 3 din rozay rakhna) wajib hai. agar nazar mubah hu, MAslan: khana, peena, libaas, safar ya aam si guftagu to nazar manny waly ko ikhteyar hai chahey to nazar puri kery aur chahey to qasam ka kufara ada kery. aur agar kisi ny etat Elahi mia masakeen aur gurba'a mai kuch taqseem kerny ki nazar mani, MAslan: inhain khana khilana, in mai taqseem kerny k liye koi janwar zeebah kerna wagaira to aisi nazar puri kerty huway masakeen aur gurba per nazar k mutabiq taqseem kerna lazim hai. agar woh nazar kisi khas cheez sy makhsos ker dey, MAslan: masajid, kitabain ya deeni mansoba jaat wagaiara k sath to woh muaiyan kerdah juhton k sath hi makhsos hogi aur deegar cheezon mai issy surf kerna darust nahi hoga.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment