NAZAR KO MUAKHAR KER K PURA KERNA

NAZAR KO MUAKHAR KER K PURA KERNA

Question :
Aik admi, Maslan: yh kehta hai k woh shifayaab huny per 5 rozey rakheyga, phir issy shifa hu gi, abb woh nazar puri kerny mai takheeri herbay ikhteyar kerta hai, hallankey nazar sy mutalqa tamam sharait bhi puri hu chuki hain to aisy shakhs k bary mai sharai hukam kia hai? yh baat qabil-e-ziker hai k is ny rozey rakhny kliye din mutaeen nahi kiye thy? kia es per 5 din k musalsal rozey rakhna wajib hai? aur kia takheer ki wajah sy is per koi kufara wajib hai? wazeh rahy k woh shakhs es nazar ka inkaar nahi kerna chaht.
Answer :
Nazar-e-etat, maslan: Roza, Sadqa, AItekaaf, hajj ta tilawat Quran wagaira ka pura kerna wajib hai. agar nazar mashrot hai jis tarhan k bimari sy shifayabi ya safar sy wapsi wagaira k sath to es mai nazar jaldi puri kerna wajib hai. aur agar koi issy muakher ker k pura ker dey to is per rakheer ka koi gunaah nahi hoga. agar woh nazar puri kiye bagair mar gaya to is k wirsa is ki nazar puri ker den. waisy nazar ko jaldi aur fouri pura kerna zarori hai ta k musalman wajibaat ki adaigi sy sarkharu husakyn.
Shiekh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment