ORAT NY ROZON KI NAZAR MANI, PHIR IS PER AMAL NA KER SAKI

ORAT NY ROZON KI NAZAR MANI, PHIR IS PER AMAL NA KER SAKI

Question :
Aik orat ny nazar mani k agar iska hamal mehfoz raha aur bacha sahi salim paida huwa to woh aik saal k rozey rakhy gi aur waqaitan is ka hamal puri muddat tak salim raha aur is ny sahi salim bachy ko janam dia, phir issy maloom huwa k woh rozey rakhny ki taqat nahi rakhti. abb issy kia kerna chaheye?
Answer :
Yh baat to shak-oshubaah sy balater hai k nazar aik ebadat hai aur Allah Rab-ul-Ezzat ny nazar puri kerny walo ki mudah farmai hai. Allah Ta'ala ka Irshad hai:

"woh log nazar ko pura kerty hain aur us din sy darty rehty hain jis ki sakhti aam hogi."
Ad'duher 76:7.
Aur Nabi (S.A.W) ka farman hai:

"Jis shakhs ny Allah Ta'ala ki etat ki nazar mani to woh is ki etat kery aur jis ny uski nafarmani ki ki nazar mani woh iski nafarmani na kery."
sahi albukhari' hadis: 6700' wa sanan abi daud' hadis: 3289.
Aik shakhs ny bawana nami jagah per ount zeebah kerny ki nazar mani, woh Rasol Allah (S.A.W) ki khidmat mai hazir huwa to app (S.A.W) ny deryaft farmaya: " kia wahan jahliyat k battu mai sy koi aisa but hai jis ki pursatish ki jati hu?" arz kia gaya: nahi, phir App (S.A.W) ny deryaft farmaya: " kia wahan jahliyet ko koi meela lagta hai?" jawab mai kaha gaya: nahi, es per App (S.A.W) ny farmaya:

"Apni nazar puri ker, beshak Allah ki nafarmani per mushtamil nazar qatan puri nahi kerni chaheye aur na is chez ki nazar puri ki jayegi jis ka insan malik hi nahi."
sanan abi daud' hadis: 3313' wasanan alkubra lilbehqee:10/ 83.
saila ny bataya hai k is ny saal bhar k rozey rakhny ki nazar mani thi, jab k aik saal k musalsal rozey rakhna zindagi bhar k rozey rakhny k mutradif hai, jo k makrooh hai. Qk Nabi (S.A.W) ny farmaya hai:

"Jis ny zindagi bhar roza rakha to is ny roza rakha na iftar kia."
Masnad ahmed:4/25 wa sahi albukhari' hadis:1977' wa sahi muslim' hadis:2734.
Aur is baat mai koi shakh nahi k makrooh ebadat Allah Ta'ala ki ma'asiye hai, Lehaza aisi nazar puri nahi kerni chaheye. shiekh-ul-islam ebn temiya Reham ul Allah farmaty hain:

"balky agar kisi ny makrooh ebadat ki nazar mani, Maslan: yh k woh hamesha raat bhar qayam keryga aur hamesha din ka roza rakhyga ro aisi nazar ka pura kerna wajib nahi."
fatawa ebn temiya:13/ 148.
es aitbar sy saila per qasam ka kufara wajib hai,
qasam aur nazar ka kufara aik hi hai jaisa k Rasool Allah (S.A.W) ny irshad farmaya hai:

"Nazar ka kufara, qasam ka kufara hai."
Sahih Muslim' Hadis:1645.
jis ki miqdar 10 miskeeno ko khana khilana hai. her miskeen ko shaiher ki galib khurak, Maslan: khajor, chawal wagaira sy nisf sa'a (taqreeban aik kilo 50 garam) daina hoga. (ya inhain libass daina hoga ya aik gulam azaad kerna hai) agar is ki taqat na ho to musalsal 3 rozay rakhny houn gey.
Dar-ul-ifta

No comments:

Post a Comment