NAZAR PURI KERNY MAI KUTAHI KERNA

NAZAR PURI KERNY MAI KUTAHI KERNA

Question :
Aik orat apny bachu samait bimaar hugae, iska aik bacha mar gaya, jab k woh khud haspatal mai zindagi aur mout ki kashmakash mai mubtala thi aur issy ghar mai majod bachu k bary mai maloom na tha k woh zindah hain ya mar gaye hain, is halat mai is ny nazar mani k agar mai tandrusti paa ker bachu sy mil jaoun to aik ountni zeebah karongi aur khud is mai sy kuch nahi khaongi, is k sath aik maah k rozey bhi rakhougi. baad aza es ny ontani zeebah ki aur aik maah k rozey bhi rakhy lekin ontani ka gosht kha lia ab sawal yh hai k ayaa issy zeebah shudah ontani kagi hogi ya is ki jagah aik aur ontani zeebah kerna hogi?
Answer :
Jab is ny ontani zeebah kerny ki nazar lawajjah Allah Sadqa kerny k liye mani aur naza-e-etat huny ki wajah sy iska pura kerna bhi wajib tha to is sorat mai is per tamam ki tamam ontani ko Liwajjah Allah taqseem kerna wajib tha. orat ny jo yh bataya hai k is ny khud bhi ontani sy kuch gosht kha lia to is per dobara ontani zeebah kerna to wajib nahi, haan itni miqdaar mia gosht khareed ker masakeen mai taqseem kerna lazim hai. In Sha Allah is tarha woh nazar sy bari-uz-zama hujayegi.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment