ORAT KA BAAL KATNA

ORAT KA BAAL KATNA

Question :
Mai apny sar k aisy baal samny sy kaat daiti hoon ji kabhi abrow rak pohanch jaty hain. kia aik musalman orat k liye aisa kerna jaiz hai?
Answer :
Orat k liye baloon ko katny ya tarashny mai koi harj nahi, sirf mondna mana hai, is ki hergiz ejazat nahi. ap ko apny sar k baal mondna nahi chaheye magar lambai ya kasret ki wajah sy baal katny mai hum koi aib aur harj nahi dekhty lekin yh amal is tarha khubsorat andaz mai hu k app ko bhi aur ap k khawand ko bhi pasand aye aur yh k in ki kaat tarash is ki muwafqat sy hu aur yh amal kisi kafir orat sy mushbihet bhi na rakhta hu. balon ka katna is liye bhi jaiz hai k lamby balo ki sorat mai gusal aur kangi kerty wqt qadrey wqt ka samna kerna parta hai, lehaza agar baal ziasah houn aur koi khatoon lamby ya ziadah baal huny ki wajah sy inhain tershwa ly to is mai koi harj nahi hai aur yh kisi tarha bhi zarer rasaah na hoga. aisa kerna is liye bhi jaiz husakta hai k kuch baal tershwany mai hussan-o-jamaal ka aisa anser bhi hai jissy orat aur is ka khawand pasand kerty hain, lehaza hum is mai koi wajah mumanat nahi paty. jahan tak tamam baal monde dainy ka ta'aluq hai to yh kaam , bimari ya kisi ellat k elawa najaiz hai. Wallah At'toufeeq.
Shiakh ibn Baz

No comments:

Post a Comment