MASNOI BAAL ( WIG ) LAGANY KA HUKAM

MASNOI BAAL (WIG) LAGANY KA HUKAM
Question :
Masnoi baal ka estemal kerny ka kia hukam hai jab k orat woh baal mahez khawand ko khsubrosat lagny ki khatir estemal kery?
Answer :
Miaan bivi ko aik dosry k liye is andaz mai sanwer ker rehna, jo bahum pasandedgi aur Ta'aluqat ki estawari ka zariya hu, matlob-o-mustahsan hai, haan yh baat zarori hai k yh sab kuch sharai muherikaat ka irtekaab kiye bagair islami hadod-o-qayud k ander reh ker hu. masnoi baalo ka estemal gair muslim orton ki ejad hai aur inhu hi ny issy batour zeenat shuhret di hai hatta k yh in ka khasosi fashion ban gaya hai. aur aik musalman orat ka issy pehanna aur is k sath mazeen hona agarcha apny khawand hi k liye Q na hu, kafir orton k sath mushbihet hai, jab k Nabi (S.A.W) ny kuffar ki mushbihat sy mana farmaya hai.
Jaisa k irshad huwa:

"jo shakhs kisi qaum ki mushabihet ikhteyar keryga to woh in mai sy hai."
sanan abi daud' hadis: 4031' wa masnad ahmed: 2/50.
Naiz is liye bhi k yh baal gondany k hukam mai sy hai balky is sy bhi sangeen ter, jab k is sy Nabi (S.A.W) ny mana farmaya hai aur aisa kerny waly per la'anat ki hai.
Hazrat Asma Bint Abu Bakar R.A. biyaan kerti hain k aik orat ny Nabi kareem (S.A.W) ki khidmat mai hazir hu ker arz ki: Aye Allah k Rasool! meri beti ki nai nai shadi huwi hai aur is k sar k baal gir gaye hain. kia mai is k balon mai naye baal laga doon? App (S.A.W) ny farmaya: balon mai paiwand lagany wali aur lagwany wali per Allah ki la'anat hu." [sahi albukhari' hadis: 5934' wa sahi muslim' hadis:2122.]
Dar-ul-Ifta

No comments:

Post a Comment