QASAM UTHATY WAQT
Question :
Hazrat Abdul Allah bin Umer R.A. sy marvi hadis Nabvi ka kia matlab hai?
"Jis shakhs ny qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh lia to woh hanis nahi hoga."
Jamia At'tramzi' hadis:1531' wa sanan abi daud' hadis: 3262.
Answer :
Is hadis ka matlab yh hai k jab koi shakhs qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh ley, phir woh qasam ko pura na ker saky to is per qasam torny ka kufarah na hoga, Maslan: woh youn kahy: "Allah ki qasam! mai In Sha Allah aisa zaror karonga" phir woh kaam na kery ya youn kahey: Allah ki Qasam! mai In Sha Allah aisa nahi karonga, phir woh issy ker guzrey to is tarha is per kufaraah qasam wajib nahi hoga, lehaza qasam uthany waly ko qasam uthaty wqt "In Sha Allah" keh laina chaheye ta k agar kisi wajah sy qasam puri na ker saky to kufara ada na kerna pary.
Hazrat Sulaiman A.S k mutaliq RAsool Allah (S.A.W) ny aik waqiya biyaan farmaya hai inhuny aik baar apni tamam biviyo (jo k tadad mai 60 ya 70 ya 90 ya 100 theen) ki babut youn kaha:
"aaj raat mai zaror in sab per chakker lagauga aur in mai sy her aik hamla hogi aur her aik ghur sawar bachy ko janam deygi jo fisabeelillah mujahid bany ga." in k aik sathi ny kaha: In Sha Allah. lekin inhuny khud In Sha Allah na kaha. in biviyon mai sy masiwaye aik k koi bhi hamla na howi aur is ny bhi naqis-ul-khalqat bachy ko janam dia. to is moqa per Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya: " agar woh In Sha Allah keh laity to in mai sy her koi aik ghur sawaar bachy ko janam daiti aur woh fisabeelillah qataal kerta."
Sahih al-bukhari' hadis: 3424' wa sahi muslim' hadis: 1654.
is k elawah qasam uthany k sath In Sha Allah kehny ka aik aur faidah bhi hai aur woh yh hai k is tarha qasam puri kerny mai saholet paida hujati hai. jaisa k Allah Ta'ala ny farmaya:
"Aur jo koi Allah per bharosa keryga to Allah is k liye kafi hai. Allah apna kaam baher haal pura ker k rehta hai Allah ny her shay ka aik andaza muqarar ker rakha hai."
At'tlaq 65:3.
Shaikh Mohammad bin Saleh Usaimin
No comments:
Post a Comment